Shaam thi aur barg-o-gul shall thay magar saba bhi thi
Aik ajeeb sakoot tha ik ajab sada bhi thi
Aik malaal ka sa haal mehav tha apnay haal main
Raqs-o-nawa thay be'taraf mehfil-e-shab bar'pa bhi thi
Samiya sada-e-jaan be'sar-o-kaar tha , keh tha
Aik gumaan ki daastan bar lab-e-neem'wa bhi thi
Kya mah-o-saal-e-maajra , aik palak thi jo miyan
Baat ki ibtidaa bhi thi , baat ki intihaa bhi thi
Aik sarod-e-roshni neema-e-shab ka khawab tha
Aik khamosh tai'ragi saniha aashna bhi thi
Dil tera paisha-e-gala kaam kharab kar gaya
Warna tu ik ranj ki halat-e-be'gala bhi thi
Dil kay mo'amlay jo thay un main se aik yeh bhi hai
Ik hawas thi dil main jo dil se gurez paa bhi thi
Baal-o-par khayal ko ab nahin simt-o-su naseeb
Pehlay thi ik ajab fiza aur jo pur'fiza bhi thi
Khushk hai chashma-e-saaz-e-jaan zard hai sabza zaar-e-dil
Ab to yeh sochiye keh yahan pehlay kabhi hawa bhi thi
No comments:
Post a Comment