Jul 9, 2016

Guzran hai guzartay rehtay hain


Guzran hai guzartay rehtay hain 
Hum miyan jaan martay rehtay hain 

Haye jana woh naaf piyala tera 
Dil main bas ghoont utar'tay rehtay hain 

Dil ka jalsa bikhar gaya to kya 
Saray jalsay bikhar'tay rehtay hain 

Yehni kya kuch bhula diya hum ne 
Ab to hum khud se dartay rehtay hain 

Hum se kya kya khuda mukarta hai 
Hum khuda se mukartay rehtay hain 

Dil kay sab zakham paisha war hain miyan 
Aan-ha-aan bhartay rehtay hain 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...