Jul 9, 2016

Tum se bhi ab to ja chuka hoon main


Tum se bhi ab to ja chuka hoon main 
Door-ha-door aa chuka hoon main 

Yeh bhout gham ki baat ho shayed 
Ab to gham bhi ganwa chuka hoon main 

Us gumaan-e-gumaan kay aalam main 
Aakhrish kya bhula chuka hoon main 

Ab babar'shair ishtihaa hai meri 
Shairon ko to kha chuka hoon main 

Main hoon ma'maar par yeh batlaa doon 
Shaher kay shaher dhaa chuka hoon main 

Haal hai ik ajab fraghat ka 
Apna her gham manaa chuka hoon main 

Log kehtay hain main ne jog liya 
Aur dhoni rm'ma chuka hoon main 

Nahin imlaa da'rust ghalib ka 
Sheefta ko bata chuka hoon main  


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...