Sep 9, 2016

Bara ehsaan hum farmaa rahay hain


Bara ehsaan hum farmaa rahay hain 
Keh un kay khat unhein lota rahay hain 

Nahin tark-e-mohabbat pe woh raazi 
Qayamat hai keh hum samjha rahay hain 

Yaqeen ka raasta teh karnay walay 
Bhout tezi se wapis aa rahay hain 

Yeh mat bhoolo keh yeh lamhaat hum ko 
Bicharnay kay liye milwaa rahay hain 

Ta'ajub hai keh ishq-o-aashqui se 
Abhi kuch log dhoka khaa rahay hain 

Tumhein chahein gay jab chinn jao gi tum 
Abhi hum tum ko arzan paa rahay hain 

Kisi surat unhein nafrat ho hum se
Hum apnay Aaib khud ginwaa rahay hain 

Woh pagal mast hai apni wafa main 
Meri aankhon main aansu aa rahay hain 

Daleelon se ussay qayel kiya tha 
Daleelein de kay ab pachtaa rahay hain 

Teri baanhon se hijrat karnay walay 
Naye mahool main ghabraa rahay hain 

Yeh juz ba ishq hai ya juz ba'reham 
Teray aansu mujhay rulwaa rahay hain 

Ajab kuch rabt hai tum se keh tum ko
Hum apna jaan kar thukraa rahay hain 

Wafa ki yaad'garein tak na hon gi 
Meri jaan bas koi din jaa rahay hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...