Insaan ka her ayeb chupa deti hai kursi
Budhon ko bhi zee'shan bana deti hai kursi
Shab bhar main yeh muflis ko bana deti hai zar'daar
Soi hui kismat ko jaga deti hai kursi
Gaoun main jo mashoor hai "gulu" kay laqb say
Uss shaks ko gulsher bana deti hai kursi
Woh log jo mariyaal say nazar atay hain pehlay
Un logoun ki tawanai ko barha deti hai kursi
Ta umer woh phir uss kay liye bharta hai aahain
Ik baar jisay jalwa dikha deti hai kursi
Woh log jo rehtay hain karaye kay makan main
Bangloun main unhain la kay bitha deti hai kursi
Gar sahib-e-kursi hai faqat 3 hi foot ka
Uss bonay ko 6 foot ka bana deti hai kursi
Woh log jo ek lafz ada kar nahi saktay
Taqreer ka fun unn ko sikha deti hai kursi
Nazdeeq nahi aata niyaz! Iss kay koi bhi
Jiss shakhs ko ek baar gira deti hai kursi