Duniya ko ajab rang dikhaati hain yeh ladkiyaan
Mardon ko hathon pe nachati hain ladkiyaan
Make up kay bagair yeh mukammal nahin ab to
Chehray pe ik chehra charhati hain yeh ladkiyaan
Budiyon ne bhi bana rakha hai ik ajab tamasha
Baal kata kar yeh bhi kehlaati hain ladkiyaan
Bhoolay se agar kisi ko jo keh diya amma
Khandaan ki taeeikh batati hain yeh ladkiyaan
Mill jaye gar yeh to ban jati hain toofan
Ladkon ko bhi badnaam karti hain yeh ladkiyaan
Duniya kay har ik mozu pe kar leti hain batein
Bolnay mein kabhi maar na khaati hain ladkiyaan
Daikh daikh kar ik dosray ko hoti hain jealous
Tareef kisi ki na kar pati hain ladkiyaan
Tamanna yehi rehti hai keh ho jaye inki shadi
Rone ka phir drama rachati hain ladkiyaan
Choti choti baton pe ho jati hain naraz
Magarmach kay phir ansoo bahati hain ladkiyaan
Acting karnay main koi sani nahi in ka
Actron ki bhi chutti karati hain ladkiyaan
Din raat suna kar masa'il ki woh bhar maar
Mardon ko bhi ganja banati hai yeh ladkiyaan
Ik dojay se bhi bana kar rakhti nahin yeh to
Chugli pe chugliyaan lagati hain ladkiyaan
Lag jaye koi mazloom agar in kay haath
Jutoon se tawaza farmati hain ladkiyaan
Zar, zan, zameen ka jhagra azal se hai mojood
Mazloom ko bhi zalim banati hain ladkiyaan
Rishtay dariyon ko bhi khatam karwa deti hain yeh to
Phir aag kuch Aasi bharkati hain ladkiyaan
Aey Imran bhout nadan hai abhi tu
Nako chanay bhi chabwati hain yeh ladkiyaan
No comments:
Post a Comment