Jan 25, 2017

Hai aap kay honton pe jo muskaan waghera


Hai aap kay honton pe jo muskaan waghera
Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan waghera

Billi to youn hi muft main badnaam hui
Thailay mein to kuch aur tha samaan wagehra

Be’hirss-o-gharz faraz adaa ki jiye apna
Jis tarah police karti hai chalaan waghera

Ab hosh nahin koi keh badaam kahan hai
Ab apni hatheli pe hain dandaan waghera

Har shirt ki bushratt bana dali hai anwar
Youn chaak kiya hum ne girebaan wahgera


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...