Na'deeda rafaqat main
Kuch bhi to nahin waisa
Jaisa tujhay socha tha
Jitna tujhay chaha tha
Socha tha teray lab par
Kuch harf dua'on kay
Kuch phool wafaon kay
Meh'kein gay meri khatir
Kuch bhi to nahin waisa
Jaisa tujhay socha tha
Mehsoos yeh hota hai
Dukh jhailay thay jo ab tak
Be'naam musafat main
Likhnay ki mohabbat main
Parhnay ki zaroorat main
Be'sood riyazat thi
Be'faiz ibadat thi
Jo khawaab bhi daikhay thay
In jaagti aankhon ne
Sab khaam khayali thi
Phir bhi tujhay paanay ki
Dil kay kisi goshay main
Khawaish to bachaa li thi
Lakin tujhay paa kar bhi
Aur khud ko ganwa kar bhi
Is habs kay mousam ki khirki se hawa aayi
Na phool se khushbu ki koi bhi sada aayi
Ab neend hai aankhon main
Na dil main woh pehli si taza sukhan Aa'rai
Na lafz meray niklay
Na harf-o-mahni ki daanish meray kaam aayi
Na'deeda rafaqat main
Jitni bhi aziyat thi
Sab meray hi naam aayi
Kuch bhi to nahin waisa
Jaisa tujhay socha tha
Jitna tujhay chaha tha
No comments:
Post a Comment