Jan 23, 2017

Yeh baat samajh me aayi nahin


Yeh baat samajh me aayi nahin
Aur mummy ne samajhai nahin

Main kaisay meethi baat karon
Jab meethi cheez koi khai nahin
Ye chand kaisay maamu hai?
Jab mummy ka wo bhai nahin

Kiyon lambay baal hain bhaalu kay
Kiyon us ne triming karai nahin
Kya woh bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahin

Nana ki biwi jab nani hai
Dada ki biwi jab dadi hai
Papa ki biwi kiyon papi nahi?

Samandar ka rang kiyon neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahin
Jab school me itni neend aati hai
To kiyon bed waha rakhwai nahin?

Yeh baat samajh mein aayi nahin
Aur mummy ne samjhai nhain


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...