Jan 20, 2017

Tujh se ab aur mohabbat nahin ki jaa sakti


Tujh se ab aur mohabbat nahin ki jaa sakti 
Khud ko itni bhi aziyat nahin di jaa sakti 

Jaantay hain keh yaqeen toot raha hai dil par 
Phir bhi ab tark yeh wehshat nahin ki jaa sakti 

Habs ka shaher hai aur is main kisi bhi surat 
Saans lenay ki sahulat nahin di jaa sakti 

Roshni kay liye darwaza khulla rakhna hai 
Shab se ab koi ijaazat nahin li jaa sakti 

Ishq ne hijar ka Aazaar to de rakha hai 
Is se barh kar to ri'ayat nahin di jaa sakti  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...