Gaye dino ka suraagh lay kar
kidher se aaya kidher gaya woh
Ajab manoos ajnabi tha
Mujhay to hairaan kar gaya woh
Khushi ki rutt ho ya gham ka mousam
Nazar ussay dhoondti hai her dam
Woh bu-e-gul tha keh naghma-e-jaan
meray to dil main utar gaya woh
Bas aik moti si chubbh dikhaa kar
aik meethi si dhun sunaa kar
Sitara-e-shaam ban kay aaya
ba'rang-e-khawab sehar gaya woh
Kuch ab sambhalnay lagi hai jaan bhi
badal chala rang-e-aasman bhi
Jo raat bhaari thi tal gayi hai
jo din karra tha guzar gaya woh
Shakista paa kharra hoon raah main
gaye dino ko bula raha hoon
Jo qaafla mera humsafar tha
ba'misal-e-gard-e-safar gaya woh
Na ab woh yaadon ka charhata dariya
na fursaton ki udaas barkha
Bas zara si kasak hai dil main
jo zakham gehra tha bhar gaya woh
Woh meh'kaday ko jaga'nay wala
woh raat ki neend uraanay wala
Yeh kya aaj uss kay jee main aayi
keh shaam hotay hi ghar gaya woh
Woh jis kay shaanay pe haath rakh kar
safar kiya tu ne manzalon ka
Teri gali se na'janay kiyon aaj
Sar jhukaa kar guzar gaya woh
Woh hijar ki raat ka sitara
Woh hum'nafs hum'sukhan hamara
Sada rahay naam uss ka piyara
Suna hai kal raat mar gaya woh
Woh raat ka be'nawa musafir
Woh tera shair woh tera nasir
Teri gali tak to hum ne daikha
Phir na janay kidher gaya woh