Pehlay kuch izzat thi jis da'maad ki susral main
Ban chuka hai ab to chapraasi wohi susral main
Apnay ghar main sher tha, susral main bakri bana
Deedni hai sher-dil ki buzdili susral main
Jab susar ho pehlwan aur boxer saaley sab hi
Uff bhi kar sakta nahi phir aadmi susral main
Kiyon na wo susral kay chakkar lagaye raat din
Saaliyan jis ko milen gulfaam si susral main
Maa’en apni betiyon ki lakh tareefen karen
Chup nahi sakten per un ki khamiyan susral main
Asal main hotay nahi hain us main johar iss qadar
Jis qadar banta hai rashid her koi susral main
No comments:
Post a Comment