Sent ki, kajley ki, aur ghaazey ki gulkaari kay baad
Wo haseen lagti hai lekin kitni tayari kay baad
Muddaton kay baad us ko daikh kar aisa laga
Jesay roza-daar ki haalat ho aftaari kay baad
Baandh kar sehraa nazar aaya hai youn nosha miyan
Jis tarha mujrim dikhai deta hai giriftaari kay baad
Heroine 55 baras ki ho chuken to gham nahi
Ab gulukaari karen gi wo adaa-kaari kay baad
Qaum ko baidaar ker, disco music cher kar
Jo bechari so chuki hain raag darbaari ke baad
Eid par masroor hain dono miyan biwi bhout
Ik khareedaari se pehlay, ik khareedaari kay baad
Uqd-e-sani ka maza poocha to bolay sheikh ji
Aaisay lagta hai, chicken chakkha hai tarkaari ke baad
Raah-e-ulfat ki traffic ho keh motor-way ki ho
Haadsey hotay hain shahid, taiz-raftaari kay baad
No comments:
Post a Comment