Woh shakhs jab se meray ishq kay nisaab main hai 
Yeh jism-o-rooh musal'sal kisi azaab main hai 
Yeh taazgi , yeh sabahat , yeh rang , yeh khushbu
Yeh kis haseen ka chehra hai jo gulaab main hai 
Na so rahi hain na jaagi hui hain woh aankhein 
Keh jaisay fitna bay'daar koi khawab main hai
Biyaaz-e-jaan main nihaan kab hai jazba-e-ulfat 
Keh harf harf ayaan iss khulli kitab main hai 
Main apnay aap se jaisay sambhal nahin paata 
Ajeeb nasha teray mar'marein shabaab main hai  


 
No comments:
Post a Comment