Feb 1, 2017

Yaadon kay khaak'daan main mehav-e-kharaam tha


Yaadon kay khaak'daan main mehav-e-kharaam tha 
Phir aaj dasht-e-dil main bara ehtamaam tha 

Yeh dil keh is kay shor ne bad'naam kar diya 
Ashraaf-e-shaher main kabhi apna bhi naam tha 

Batlaa na paye tujh ko keh dil main teray liye 
Sab silsalon se hatt kar alag hi maqaam tha 

Khawaish kay is safar main mera humsafar nahin 
Jo shakhs zindagi ki maah-e-tamaam tha 

Khushiyan hamaray dar se that'thak kar palat gayein 
Ghar main ghamon ka ik ajab az'dahaam tha 

Aksar yeh sochti hoon mera jazba-e-khaloos !!
Tha payar , ya faqat woh tera ehtraam tha  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...