Be'naam uljhan
Yeh kya be'naam uljhan hai
Na'janay aagahi aur khawab kay ma'bain kaisa masla hai
Keh her takhleeq se pehlay
Ajab ik khouf dil ko ghair leta hai
Mujhay mehsoos hota hai
Main apni aakhri tehreer likhnay jaa rahi hoon
Sukhan ki shab kay maathay par
Woh meray naam kay jitnay sitaray thay
Wafa kay ista'aray thay
Sab apni umar poori kar chukay hain
Yeh hi dharka sa rehta hai
Keh jitnay shair likhay thay
Jinhein main
Apnay honay ki gawahi ki tarah mehsoos karti thi
Yeh ab likhay na jayein gay
YEh ab sochay na jayein gay
Yeh ab sochay na jayein gay
Meri nazmein
Jo ab tak aarzu'on ka sunehra aks ban kar jhil'milati thein
Mohabbat ki zameeno par utar'tay
Hijar kay aur wasal kay sab mousamon ki baat karti thein
Inhein tehreer karnay ka hunar bhi bhool jaon gi
Gumaan yeh be'sabati ka
Yaqeen ban ban kay her lamha
Barri shiddat se meray zehan ka daman hilaata hai
Yeh hi bawar karwata hai
Keh harf-o-lafz ka jitna asaasa tha
Fana ki sarhadon par hai
Sukhan sacchai ka sara tafakhar tootnay ko hai
Mohabbat roothnay ko hai
Yeh kya be'naam uljhan hai
Keh her takhleeq se pehlay
Ajab ik khouf dil ko ghair leta hai
Mujhay mehsoos hota hai
Main apni aakhri tehreer likhnay jaa rahi hoon
No comments:
Post a Comment