Mar 11, 2017

Yeh umar bhar ka safar aur yeh rai'gaani teri


Yeh umar bhar ka safar aur yeh rai'gaani teri 
Kahan gayi Ae meray dil woh khush gumaani teri 

Yahan pe kon andheron main saath chalta hai 
Tu ab bhi saath meray hai yeh meharbani teri 

Tujhay khabar nahin hum daikh kar bhout roye 
Nayi kitaab main tasveer ik purani teri 

Abhi se aablay parnay lagay hain paaon main 
Abhi to door hai manzil-e-safar kahani teri 

Bhulaaye baithay hain aur apnay haal main khush hain 
Tu aa kay daikh kabhi hum ne baat maani teri 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...