Jun 23, 2018

Main aksar sochti hoon


میں اکثر سوچتی ہوں
کِتنا اچھا ہے کہ اللہ کو وضاحتیں نہیں چاہئیں
کتنا اچھا ہے کہ وہ بِن کہے سُن لیتا ہے
وہ بس دِل دیکھتا ہے اور دِل دیکھ لے تو پھر
دِل پھیر دیتا ہے
اُس کے پاس جائیں تو وقت کی قید سے
آزادی ہوتی ہے
جتنا بھی بول لو وہ نہیں کہے گا کہ بس کرو
میں سُن سُن کر تنگ آگیا ہوں
نہ بولو تو بھی سُن لیتا ہے
دِلوں کو الہام دیتا ہے
رو لو تو مضبوطی عطا کرتا ہے
سہارا دیتا ہے ، مذاق نہیں اُڑاتا ، دُھتکارتا نہیں ہے
میں سوچتی ہوں کسی ہمدرد کا کاندھا مُیّسر آنے سے کِتنا بہتر ہے
اِس اُمید کا ہونا کہ " وہ ہے " 
اِس یقین کا ہونا کہ " میرا اللہ میرے ساتھ ہے"
اِس اطمینان کا ہونا کہ " میرا اللہ مجھے گِرنے نہیں دے گا "


Woh jo hum se bayaan nahin hotay


وہ جو ہم سے بیاں نہیں ہوتے
لفظ اتنے آساں نہیں ہوتے۔۔۔

کوئی سمجھے تو بولتے ہیں مگر
درد اہلِ زباں نہیں ہوتے۔۔۔

دُشمنی دوستی سے بہتر ہے
دُشمنی میں گُماں نہیں ہوتے۔۔۔

ہم سے مِلنا ہے تو پَلٹ جائیں
بَخُدا ہم یہاں نہیں ہوتے۔۔۔

فِکر نہ کر، کہ جب تلک ہم ہیں
غم تیرے بے اماَں نہیں ہوتے۔۔۔

میرے گھر کے مکِین ہیں سارے
حادثے بے مکاں نہیں ہوتے۔۔۔

لوگ لوگوں کی جان لیتے ہیں
لوگ لوگوں کی جاں نہیں ہوتے۔۔۔

چھوڑیے اب تو مر چُکا وہ شخص
مُردوں سے بدگُماں نہیں ہوتے۔۔۔

بقصدِ حُرمت صدا نہیں دیتا
آپ ورنہ کہاں نہیں ہوتے۔۔۔

عشق گھاٹے کا کاروبار نہیں
چاہتوں میں زیاں نہیں ہوتے۔۔۔

غم ہیں خوددار کس قدر میرے
چہرے سے عیاں نہیں ہوتے۔۔۔

باتیں دل کی میں دل میں رکھتی ہوں
کیونکہ دل آتش فشاں نہیں ہوتے۔۔۔

جن پہ دُنیا تمام ہو جاۓ
اُن سے آگے جہاں نہیں ہوتے۔۔۔

Woh jo hum se bayaan nahin hotay 
Lafz itnay asaan nahin hotay 

Koi samjhay to boltay hain magar 
Dard ehal-e-zuban nahin hotay 

Dushmani dosti se behtar hai 
Dushmani main gumaan nahin hotay 

Hum se milna hai to palat jayein 
Ba'Khuda hum yahan nahin hotay 

Fikar na kar , keh jab talak hum hain 
Gham teray be'amaan nahin hotay 

Meray ghar kay makeen hain saaray 
Haadsay be'makan nahin hotay 

Log logon ki jaan letay hain 
Log logon ki jaan nahin hotay 

Chor de ab to mar chuka woh shakhs 
Murdon se bad'guman nahin hotay 


Baq sad-e-hurmat sada nahin deta 
Aap warna kahan nahin hotay 

Ishq ghaatay ka kar-o-baar nahin 
Chahaton main ziyaan nahin hotay 

Gham hain khud daar kis qadar meray 
Chehray se ayaan nahin hotay 

baatein dil ki main dil main rakhti hoon 
Kiyon keh dil aatish fishan nahin hotay 

Jin pe duniya tamaam ho jaye 
Un se aagay jahan nahin hotay 


Jab tasawur main na payein gay tumhein


جب تصور میں نہ پائیں گے تمہیں
پھر کہاں ڈھونڈنے جائیں گے تمہیں

تم نے دیوانہ بنایا مجھ کو
لوگ افسانہ بنائیں گے تمہیں

حسرتو ! دیکھو یہ ویرانہ دل
اِس نئے گھر میں بسائیں گے تمہیں

میری وحشت، مرے غم کے قصے
لوگ کیا کیا نہ سنائیں گے تمہیں

آہ میں کتنا اثر ہوتا ہے
یہ تماشا بھی دکھائیں گے تمہیں

آج کیا بات کہی ہے تم نے
پھر کبھی یاد دلائیں گے تمہیں

سیف یوں چھوڑ چلے ہو محفل
جیسے وہ یاد نہ آئیں گے تمہیں

سیف الدین سیف

Jab tasawur main na payein gay tumhein 
Phir kahan dhondnay jayein gay tumhein 

Tum ne deewana banaya mujh ko 
Log afsana banaein gay tumhein 

Hasrato ! dekho yeh veerana-e-dil 
Is naye ghar main basa'ein gay tumhein 

Meri wehshat , meray gham kay qissay 
Log kya kya na suna'ein gay tumhein 

Aah main kitna asar hota hai 
Yeh tamasha bhi dikhaein gay tumhein 

Aaj kya baat kahi hai tum ne 
Phir kabhi yaad dilaein gay tumhein 

Saif youn chor chalay ho mehfil 
Jaisay woh yaad na aayein gay tumhein  

Lo sun lo Mehram


لو سن لو .......مِحرم

سو صدی کی کاٹی ہے
ایک شب ہجر


Lo sun lo Mehram 
100 sadi ki kaati hai 
Aik shab-e-hijar

Ibtida-e-ishq hai abar sa


ابتدائے عشق ہے آبر سا
برسے گا تو جل تھل کردے گا


Ibtida-e-ishq hai abar sa 
Barsay ga to jal thal kar de ga 

Mujhay shaakh shaakh se torna


مجھے ۔۔۔۔۔۔۔۔۔ شاخ شاخ سے توڑنا 
پھر ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ بیچ بیچ سے جوڑنا 
یہ ادا ادا بھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ کمال ہے 
یہ سزا سزا بھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ کمال ہے 

یہ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔ شام شام کے دُھندلکے
اور ۔۔۔۔۔۔۔ قطرہ قطرہ سی بارِشیں
مجھے پیاس پیاس میں ڈال کے۔۔۔۔۔۔۔
پھر ۔۔۔۔۔۔۔ دشت دشت میں چھوڑنا 

یہ اُداس اُداس ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ اُداسیاں 
اور دُور دُور ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ کی دُوریاں
مجھے ۔۔۔۔۔۔۔۔ اشک اشک بکھیر کے
پھر ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ہنس ہنس کر سمیٹنا 
یہ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ آگ آگ کا کھیل ہے
اسے روز روز ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ نہیں کھیلنا 

مجھے ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ورق ورق کھولنا
پھر ۔۔۔۔۔۔۔۔ حرف حرف پہ سوچنا
یہ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔ جفا جفا کے راستے
اور ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ وفا وفا کی منزلیں
مجھے ڈھونڈ ڈھونڈ کے ڈھونڈنا 
پھر ۔۔۔۔۔ چھوڑ چھوڑ کے چھوڑنا 

وہ چہرہ چہرہ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔حِجاب ہے 
میرے درد درد کا علاج ہے ۔۔۔۔۔۔ 
مجھے ۔۔۔۔۔۔۔۔۔ دُور دُور سے دیکھنا
مجھے مرض مرض کا بھولنا 
یہ ادا ادا بھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ کمال ہے 
یہ سزا سزا بھی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ کمال ہے 


Mujhay shaakh shaakh se torna 
Phir beech beech se jorna 
Yeh ada ada bhi kamal hai 
Yeh saza saza bhi kamal hai 

Yeh sham sham kay dhundlake 
Aur qatra qatra si baarishein 
Mujhay pyas pyas main daal kay 
Phir dasht dasht main chorna 

Yeh udaas udaas udasiyan 
Aur door door ki dooriyan 
Mujhay ashk ashk bakhair kay 
Phir hans hans kay samaitna 
Yeh aag aag ka khel hai 
Issay roz roz nahin khelna 

Mujhay warq warq kholna 
Phir harf harf pe sochna 
Yeh jafa jafa kay raastay 
Aur wafa wafa ki manzalein 
Mujhay dhoond dhoond kay dhoondna 
Phir chor chor kay chorna 

Woh chehra chehra hijaab hai 
Meray dard dard ka ilaaj hai 
Mujhay door door se daikhna 
Mujhay marz marz ka bhoolna 
Yeh ada ada bhi kamal hai 
Yeh saza saza bhi kamal hai 


Tere utaare huye din pehan kar


تیرے اتارے ہوئے دن پہن کر 
اب بھی میں تیری مہک میں 
کئی روز کاٹ دیتی ہوں


Tere utaare huye din pehan kar 
Ab bhi main teri mehak main 
Kai roz kaat deti hoon 

Hamein to hukm-e-majawari hai




ہمیں تو حکم مجاوری ہے
مزار دل میں ہے کون مدفن
یہ کس عروسہ کا مقبرہ ہے
نہ کوئی کتبہ"
نہ کوئی تختی"
نہ سنگ مر مر کی سل پہ لکھا ہوا
محبت کا کوئی مصرع
فقط سرہانے سے پائینتی تک
امر کی بیل اک لپٹ گئ ہے
جو اک زمانے سے کہہ رہی ہے
یہاں ٹھکانہ تھا عاشقی کا
یہ پیر خانہ تھا عاشقی کا
کسے خبر تھی یہاں ہے مدفن
فقیر کوئی"
اسیر کوئی"
یا پھر وارث کی ہیر کوئی 
مگر ہماری مجال کیا ہے 
یہاں جو بولیں"
زبانیں کھولیں"
ہمارے لب تو سلے ہوئے ہیں
نہ جانے کب سے سلے ہوئے ہیں
ہمیں تو حکم__مجاوری ہے


Hamein to hukm-e-majawari hai 
Mazar-e-dil main hai kon mad'fun 
Yeh kis aroosa ka maqbara hai 
Na koi kutba "
Na koi takhti "
Na sang-e-mar mar ki sil pe likha hua 
Mohabbat ka koi misra 
Faqat sarhanay se pa'inti tak 
Amar ki bail ik lipat gayi hai 
Jo ik zamanay se keh rahi hai 
Yahan thikana tha aashiqui ka 
Yeh peer khana tha aashqui ka 
Kissay khabar thi yahan hai mad'fun 
Faqeer koi "
Aseer koi "
Ya phir waris ki heer koi 
Magar hamari majaal kya hai 
Yahan jo bolein "
Zaban kholein "
Hamaray lab to silay huye hain 
Na janay kab se silay huye hain 
Hamein to hukm-e-majawari hai 







Yeh jo dehshat gardi hai


Yeh jo dehshat gardi hai 

Is kay peechay darzi hai 

Ki gham sunawa is december da


Ki gham sunawa is december da 

Sajn nikliya harami ik number da 

Shayad woh muntazir tha , kisi aisay waqt ka


Shayad woh muntazir tha , kisi aisay waqt ka 

Main kuch bhi kahoon aur woh mera saath chor de

Lamhay ko bewafa samajh lijiye


Lamhay ko bewafa samajh lijiye 
Jawadani ada samajh lijiye 

Meri khamoshi-e-musal'sal ko 
Ik musal'sal gila samjh leejiye 

Jis gali main bhi aap rehtay hoon 
Wahan mujhay ja ba ja samjh leejiye 

Aap aa jaiye qareeb meray 
Mujh ko mujh se juda samjh leejiye 

Jo na ponchaye aap tak mujh ko 
Aap ussay wasta samjh leejiye 

Nahin jab koi mud-dua mera 
Koi to mud'dua samjh leejiye  

Jo kabhi haal-e-haal main na chalay 
Uss ko baad-e-saba samjh leejiye 

Jo kahin bhi na ho , kabhi bhi na ho 
Aap uss ko khuda samjh leejiye 


Kabhi sajde kabhi aansu


Kabhi sajde kabhi aansu 
Kabhi haathon ka uth jana 
Khwaishein adhoori hoon to rab kitna yaad aata hai 

Jab aap hi nazar nahin aatay to


Jab aap hi nazar nahin aatay to 

Hum in aankhon ka kya karein gay ?

Kabhi kabhi woh aisi rasai deta hai


Kabhi kabhi woh aisi rasai deta hai 

Woh sochta hai , mujhe sunai deta hai 

Her raat mujhay ik naam yaad aata hai


Her raat mujhay ik naam yaad aata hai 
Kabhi kabhi subah sham yaad aata hai 

Jab sochta hoon keh kar loon doosri mohabbat 
To pehli mohabbat ka anjaam yaad aata hai 


Taluq khatam karne ka ikhtiyar tha un ko be-shak


Taluq khatam karne ka ikhtiyar tha un ko be-shak 

Par woh jo bana rahay thay woh bahanay ajeeb thay 

Jun 4, 2018

Usool-e-mohabbat main tum khud bewafa ho


Usool-e-mohabbat main tum khud bewafa ho 

Woh jo bichra to tum mar kiyon nahin gaye 

Dushmano se mohabbat hone lagi mujh ko


Dushmano se mohabbat hone lagi mujh ko 

Jaisay jaisay apno ko azmate chale gaye 

Faqat baatein andheron ki mehz qissay ujalon kay


Faqat baatein andheron ki mehz qissay ujalon kay 

Chiragh-e-aarzu le kar na tum niklay na hum niklay 

Iqbal teri qaum ka iqbal kho gaya


Iqbal teri qaum ka iqbal kho gaya 

Mazi to sunehra hai magar haal kho gaya 

Likhta hoon to tum hi utarte ho qalam se


Likhta hoon to tum hi utarte ho qalam se

Parhta hoon to lehja bhi tum , awaz bhi tum 

Main qabil-e-nafrat hoon to chor de mujh ko Wasi


Main qabil-e-nafrat hoon to chor de mujh ko Wasi 

Tu mujh se youn dikhaway ki mohabbat na kiya kar 

Rehta hai woh nazar main chahe kahin bhi jaye


Rehta hai woh nazar main chahe kahin bhi jaye 

Aankhon main aik chehra marqoom ho chuka hai 

Tere hijran se taluq nibhane kay liye


Tere hijran se taluq nibhane kay liye 

Hum ne is saal bhi jeenay ki qasam khai hai 

Teray hotay huye Ae Khaliq !!


Teray hotay huye Ae Khaliq !!

Mujh par her shakhs ne khudai ki 

Us kay be'hijab honay tak


Us kay be'hijab honay tak 

Hum bhi shamil thay hosh walon main 

Mujhay to hijar kha gaya tera

Mujhay to hijar kha gaya tera 

Warna tha zikr dil'ruba'on main 

Darwaza chota hi rehne do apne makan ka


Darwaza chota hi rehne do apne makan ka 

Jo jhuk kay andar aaye ga samjho wohi apna hai 

Jun 1, 2018

Uss ka miyaar abhi mujh se juda hai lakin


Uss ka miyaar abhi mujh se juda hai lakin 

Woh bhi bikhray ga to ho jaye ga meray jaisa

Seenay laa kay sambh lay manu


Seenay laa kay sambh lay manu
Dukhray andar taar ne maye 

Jindrri meh thon nibhdi nahii
Ik wari fir paal ni maye

Woh zindagi keh jissay zindagi se nisbat thi


Woh zindagi keh jissay zindagi se nisbat thi 

Tumhari zulf-e-parishan pe waar di hum ne 

Kuch aisa sard hua jazba-e-wafa saghar 

Khud apni zaat bhi hans hans kay haar di hum ne 

Ab to awz bhi do gay to nahin ayein gay


Ab to awz bhi do gay to nahin ayein gay 

Tootnay walay qayamat ki ana rakhtay hain 

Abhi to raakh huye hain teray firaaq main hum


Abhi to raakh huye hain teray firaaq main hum 

Abhi to hamaray bikharnay ka khel baqi hai 

Acha hua gaya waqt wapas nahin aata


Acha hua gaya waqt wapas nahin aata 

Warna kitnay log be'niqab hotay 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...