Rukta bhi nahi theek se , chalta bhi nahin hai
Yeh dil keh tere baad , sambhalta bhi nahin hai
Ik umar se hum uss ki tamana main hain be'khawab
Woh chand jo aangan main , utarta bhi nahin hai
Phir dil main teri yaad kay , manzir hain farozan
Aisay main koi dekhnay wala bhi nahin hai
Hum'raah bhi khawaish se , nahin rehta hamaray
Aur baam-e-rifaqat se , utarta bhi nahin hai
Is umar kay sehra se , teri yaad ka badil
Talta bhi nahin , aur barasta bhi nahin hai
No comments:
Post a Comment