Sep 19, 2018

Woh abhi apnay chehray main utra nahin


Kis se poochon woh kya shakhs hai 
Jo meri 
Aarzu kay jharokon main thehray huye 
Saray chehron main bikhra hua hai magar 
Khud abhi apnay chehray main utra nahin 
Kis se poochon woh kya 
Naam hai jo meri 
Dharkano kay muqaddar main marqoom hai 
Aur woh kya ajnabi hai 
Jo sadiyon se meray khayalon kay kariye main abaad hai 
Magar mera surat shanasa nahin 
Kis ki awaz hai Jo meri rooh main naghma-e-parwaz hai 
Kon bataye ga uss nagar ka pata 
Jis ki matti ki khushbu meray jism kay wastay darj hai 
Jis kay dewar-o-dar meri be'khawab aankhon se manoos hain 
Aur jis ko kabhi main ne dekha nahin 
Na'rasai meri , Na'rasai meri 
Jis ko paya na tha uss ko khonay ka gham 
Meri khawaish kay seenay ka nasoor hai 
Kis ko awaz doon , kis ka matam karon 
Woh abhi apnay chehray main utra nahin 
Kis se poochon Mera mad'dua kon hai 
Na'rasa kon hai 



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...