Khula hai Jhoot ka bazar, Aao such bolein
Na ho bala say Kharidar, Aao such bolein
Sukoot chahya hai insaniyat ki Qadron par
Yehi hai moqa-e-izhaar, Aao such bolein
Humein gawah banaiya hai waqat nay apna
Be-naam-e-azmat-e-kirdar, Aao such bolein
Suna hai waqat ka Haakim bara hi Musanif hai
Pukar kar sar-e-darbar, Aao such bolein
Tamam shehar mein aik bhi nahi “Mansoor”
Kahein gay kea rasan o daar, Aao such bolein
Jo “wasaf” hum mein nahi kyon krein kisi mein talaash
Agar Zameer hai bay-daar, Aao such bolein
Chupaaye say kaheen chuptay hain Daag chehray kay
Nazar hai Aaina bardaar, Aao such bolein
Qateel jin pe sada Pathron ko Peyar aya
Kidhar gaye woh Gunah-gaar, Aao such bolein
No comments:
Post a Comment