Apr 16, 2020

Sukoot-e-jaan ka matlab bata do phir chalay jana



Sukoot-e-jaan ka matlab bata do phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansne rone mein
Ussay poori tarah se tum bhula do phir chalay jana

Ya sare pairh podhe tere bin ek rut jage hue
Tum aa ke aik baar in ko sula do phir chalay jana

kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum us ko mita do phir chalay jana

Bus itni si hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikha do phir chalay jana

Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maanay se
Bus in alfaz-o-maanay ko mita do phir chalay jana

Jo tum kehtay kehtay ruk gaye, un sari batoon ki
sa'ma`at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chalay jana

Mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
Mujhe tum doosra unwaan laa do phir chalay jana

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...