Apr 16, 2020

Kuch kashish dil-baron main hai hi nahin





Kuch kashish dil-baron main hai hi nahin
Rung woh mehfilon main hai hi nahin

Har taraf teri Ro-numai hai
Aur kuch Aainon mein hai hi nahin

Jo tujhay munfarid banati hai
Baat woh dusron mein hai hi nahin

Mera kitna khyal hai uss ko
Jo meray doston mein hai hi nahin

Sab kay sab silsaly ussi kay hain
Jo meray silsalon mein hai hi nahin

Wo meray raabton mein rehta hai
Jo meray raabton mein hai hi nahin

Haan!

Wohi to hai Masla mera
Jo meray maslon mein hai hi nahin

Jis kinarey humein utrna hai
Wo teray sahilon mein hai hi nahin

Sab kay shaano par sar salamat hain
Koi soda saron mein hai hi nahin

Us ka Ehsaan mand hoon
Jo meray mohsano mein hai hi nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...