Apr 16, 2020

Woh Ek Shakhs…Janti ho tum ?


Woh Ek Shakhs…Janti ho tum ?
Wohi  jo be-towajhi kay sabab
Hamesha bay Usool rehta tha

Woh Ek Shakhs…Janti ho tum 
Woh jisay neend bohat peyari thi,
 Woh jo aik khuwab kay assar mein tha
Woh jo La-ilam raha manzil say
Wohi jo umar bhar safar mein tha

Woh Ek Shakash…Janti ho tum ?
Jis nay khushbu ki tamna ki thi, 
Aur Rondhay Gulab thay
Jis nay apni hi Naikion kay sabab, 
Azaab paye thay

Wo Ek Shakhas…Janti ho tum ?
Wo jis ka Deen bas Mohabbat tha, 
Wo jis ka Imaan wafaein thien
Wo jis ki soch bhi pareshan thi
Wo jis k Lab pay faqat duaen thien, 
Wohi uljhi hui si baton wala
Mohabbaton say Dar geya kal shab,
 Hijar k dukh ko sehtay sehtay
Wo Shakhs Mar geya kal shab

Aao ab Laash uthao uski,
 Wo jo tere Assar mein rehta tha
Aao ab sogh mnao uska, 
Wo jo suraj ko Qamar kehta tha

Mohabbaton say Dar geya kal shab
Wo Shakhs…Mar geya kal shab

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...