May 26, 2014

shak'kist-e-zindagi waisay bhi mout hi hai na


shak'kist-e-zindagi waisay bhi mout hi hai na
tu sach bata ! yeh mulaqaat aakhri hai na

main khud bhi yaar tujhay bhoolney ke haq main hoon
magar jo beech main kam'bakhat shaiyari hai na

yeh kor-e-chasham ujalon se ishq kartay hain
jo ghar jala ke bhi kehtay hain roshni hai na

tu meray haal se anjaan kab hai duniya
jo baat keh nahin paya samjh rahi hai na

main jaan boojh ke aya tha teegh aur teray beech 
miyan ! nibhani to parti hai dosti hai na

us ko juda huye bhi zamana bhout hua


us ko juda huye bhi zamana bhout hua
ab kiya kahain yeh qissa pura bhout hua

dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaaq
ae marg-e-nagahan ! tera ana bhout hua

hum khalad se nikal to gaye hain par ae khuda
itney se waqiea ka fasana bhout hua

ab hum hain aur saray zamaney ki dushmani 
us se zara sa rabat barhana bhout hua

ab kyn na zindagi pe mohabbat ko war dain
is aashqi main jaan se jana bhout hua

ab tak to dil ka dil se taaruf na ho saka
mana keh is se milna milana bhout hua

lo phir teray labon pe usi be'wafa ka zikar
ahmed faraz! tujh se kaha na bhout hua

Poet : Ahmed Faraz


be'faida hai zeest main ehbaab ka hajoom


be'faida hai zeest main ehbaab ka hajoom

ho paikar-e- khloos to kafi hai ik shaks

kitabon se daleel'ein doon ya dil ko samney rakh doon


kitabon se daleel'ein doon ya dil ko samney rakh doon

woh mujh se pooch baithay hain mohabbat kis ko kehtay hain

Mohsin woh shaks kitna tabiyat shnaas tha


bakhsha hai rooh ko jis ne zakhmon ka pehrahan

Mohsin woh shaks kitna tabiyat shnaas tha

koi sapna bhi woh sacha nahin honey deta



woh taughafal se lagata hai naye zakham magar

dil ke zakhmon ko woh gehra nahin honey deta

meri aankhon main saja deta hai sapne lakin

koi sapna bhi woh sacha nahin honey deta

sach hai keh teray baad udaasi ka raaj hai



sach hai keh teray baad udaasi ka raaj hai

lakin teray firaaq main mar to nahin gaya

manzil na mil saki yeh muqadar ki baat hai

sad shukar hum se zoaq-e-safar to nahin gaya

behal'ti jaye gi sarkash mohabbat dekhtay jayo



behal'ti jaye gi sarkash mohabbat dekhtay jayo

tumhain duniya sikha de gi siasat dekhtay jayo

barat oonchay suron main baat karty ho mohabbat ki

mohabbat hai khis'saron ki tijarat dekhtay jayo

Phoolon main khilta hai kon


Phoolon main khilta hai kon

kushboo main hansta hai kon

sada laganey ka fun seekh

ab chaheray parhta hai kon


Mousam tha be'qaraar , tumhain sochtay rahay


Mousam tha be'qaraar , tumhain sochtay rahay

kal raat bar bar tumhain sochtay rahay

barish hui aur ghar ke dareechay se lag ke hum

chup chaap sogawaar tumhain sochtay rahay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...