Jun 9, 2014

Duniya bari munh zor hai bhai


Duniya bari munh zor hai bhai 
Yeh banda kamzor hai bhai 

Yahan koi kisi kay kaam nahin ata
Yeh nafsa nafsi ka dour hai bhai

Kis ko mann ki meet banayein 
Her koi yahan chor hai bahi 

Main kisi ko dil de baitha
Ishq pe kis ka zor hai bhai

Aisay mard ko jannat milay gi 
Jo do biwiyon ka shohar hai bhai

Duniya ki nazron main hum chotay sahi
Doston main apni tohar hai bahi

Tum ko marghoob thay hanstay huye cheheray lakin


Tum ko marghoob thay hanstay huye cheheray lakin 
Hum ne roothay huye chaheron se mohabbat ki hai 

Chand sikon ky iwaz cheen li ghairat meri
Kitni kam is ne muqarar meri qeemat ki hai 

Kon thay jin bhujhay meray ghar ky chraagh 
Janay kis ne yeh siyaai meri qismat ki hai 

Ab woh tardeed pe tardeed kieya jata hai 
Main ne to baat ki thori si wazahat ki hai 

Ghar main dar aya hai dushman to shikayat kaisi 
Hum ne khud us ko fraham yeh sahoolat ki hai 

Shairy kiya thi faqat shair kay parhnay main 
Hum ne ik ehad ki tareekh ibarat ki hai 

Yaad ata hai roz-o-shab koi


Yaad ata hai roz-o-shab koi
Hum se rootha hai be'sabab koi

Lab-e-joo chayon main drakhton ki
Woh mulaqaat thi ajab koi

JAb tujhay pehli baar dekha tha 
Woh bhi tha mousam-e-tarab koi

Kuch khabar ly ky teri mehfil se
Door baitha hai jaan ba lab koi

Na gham-e-zindagi na na dard-e-firaaq
Dil main youn hi si talab hai koi

Yaad ati hain door ki batain 
Pyaar se dekhta hai jab koi

Jin ko mitna tha mit chukay nasir
Un ko ruwa  karay na ab koi

Kisi ka dard ho dil-e-be'qaraar apna hai


Kisi ka dard ho dil-e-be'qaraar apna hai 
Hawa kahin ki ho Seena fagaar apna hai 

Ho koi fasal magar zakham khil jatay hain 
Sada bahaar dil-e-daagh'daar apna hai 

Jo shaad phirtay thay kal aaj chup ky ratay hain 
Hazaar shukar gham-e-paidaar apna hai 

Na tang kar dil-e-mehzan ko Ae gham-e-duniya 
Khudaai bhar main yahi gham'gusaar apna hai 

Woh koi apnay siwa ho to us ka shikwa karoon 
Judaai apni hai , aur intizaar apna hai

Hon gay juda hum is tarah imkaan to na tha


Hon gay juda hum is tarah imkaan to na tha
Yeh dil kabhi bhi is tarah , veeran to na tha 

Jaisay hua hai ab keh woh , Halaat se meray 
Pehlay kabhi woh is tarah , anjaan to na tha 

Woh shaher se gaya hai to , ronaq bhi ly gaya 
Yeh shaher is tarah kabhi , sunsaan to na tha 

Ek pyaar ki jageer ka , maalik tha main kabhi 
Pehlay se youn hi be'sar-o-samaan to na tha 

Mohsin hum ne ishq main , paya naffa bhout
Es karobaar main koi , nuqsaan to na tha 

Kuch to ae yaar Elaaj-e-gham-e-tanhai ho


Kuch to ae yaar Elaaj-e-gham-e-tanhai ho
Baat itni bhi na barh jay keh ruswai ho

Jis ne mujh ko tamasha sa bana rakha hai 
Ab zaroori hai wohi aankh tmashai ho

Doobnay wale to aankhon se bhi kab nikaltay hain 
Doobnay kay liye lazam nahin gehraai ho

Main tujhay jeet bhi tohfay main nahin de sakta
Chahata yeh bhi nahin hon teri paspai ho

Koi anjaan na ho shaher-e-mohabbat ka makeen 
Kaash her dil ki her ik dil se shnasai  ho

Aaj to bazam main her aankh thi pur'nam jaisay 
Daastaan meri kisi ne yahan dohraai ho 

Youn guzar jata hai mohsin teray koochay se woh 
Tera wakif na ho jaisay koi sodaai ho

Dil meray tu kis kay liye dharakta hai


Dil meray tu kis kay liye dharakta hai
Teray ehsaas ko kyun na yahan samjhta hai 

Tu kyon kis pe youn marta hai 
Her koi is matlabi duniya main jeet ahai 

Kushi ky liye kyon her pal trapta hai 
Yahan to gham hi khoobsurat lagta hai 

Armano ko liye kyon machalta hai 
Un ko aadhoora rehta dekh jiya jalta hai 

Toot kar bhi tu kyon sambhalta hai 
Yahan tujhay phir bikhrna parta hai 

Bhrosa kyon itna karta hai 
Yahan her ghari insaan chahera badalta hai 

Tu kyon jaan youn chidkata hai
Woh to tera qatil bana phirta hai 

Pagal dil , tu kyon nahin samjhta hai 
Teri haalat dekh kar koi hansta hai 

Teray liye kisi ki nafrat hi achi hai 
Yahan to pyaar bhi bhout sasta hai

Mohabbaton main kuch aisay bhi haal hotay hain


Mohabbaton main kuch aisay bhi haal hotay hain 
Khafa hon jin se unhi ky khyal hotay hain 

Machaltay rehtay hain zehnoon main was'wason ki tarah 
Haseen log bhi jaan  ka wabaal hotay hain 

Main dil ky zakham chupaon teri tarah kaisay 
KEh teray paas to lafzon ky jaal hotay hain 

Bas ik tu hi sabab to nahin udaasi ka
Tarah tarah ky dilon ko mal'laal hotay hain 

Siyaah raat main jaltay hain jugnoon ki tarah 
Dilon ky zakham bhi kitnay kamaal hotay hain 

 

Roog aisay bhi gham-e-yaar se lag jatay hain


Roog aisay bhi gham-e-yaar se lag jatay hain
Dar se uth'tay hain to dewaar se lag jatay hain

Ishq angaiz main halki si khlash rakhta hai
Baad main saikron azaar se lag jatay hain

Pehlay pehlay hawas ik aah dukaan khulti hai
Phir to bazaar k bazaar lag jatay hain

Be'basi bhi kabhi qurbatk sabab banti hai
roo na payein to galay yaar se lag jatay hain 

Qatarnain gham ki galiyon main jo oorhay phirtay hain 
Ghar main lay ayo to ambar se lag jatay hain 

Daagh daman kay hon, dil kay hon , ya chaharay kay faraz
Kuch nishaan umar ki raftaar se lag jatay hain

Jun 8, 2014

Shab wohi Lakin sitara aur hai

Shab wohi Lakin sitara aur hai 
Ab safar ka ista'ara aur hai 

Moj kay murrnay main kitni dair hai
Nayo daali aur dhara aur hai 

Sukh ky mousam ungliyon pe gin liye
Fasl-e-gham ka goshawara aur hai 

Dair se palkain nahin jhapakti meri 
tesh-e-jaan ab ky nizara aur hai 

Aur kuch pal us ka rasta dekh loon 
Asmaan par ik sitara aur hai 

Sath to mera zameen deti magar
Asmaan ka her ishaara aur hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...