Jun 16, 2014

Uth Fareeda sutya charo de maseet


Uth Fareeda sutya charo de maseet 

Tu suta rab jaagda teri dadhay naal preet

Wohi wafa hai , wohi jafa hai


Mohabbaton ka mousam 

Wohi wafa hai , wohi jafa hai 
Jahan main kuch bhi naya nahin hai 

Mohabbaton ka mehakta mousam 
Suno ab tak gaya nahin hai 

Go dukhi dil ko bhout bachaya hum ne


Go dukhi dil ko bhout bachaya hum ne !!!!

Jis jaga zakham ho wahan chot sada lagti hai 

Woh chaand mera humsafar tha


Woh chand mera humsafar tha !!
Doori kay ujaar junglon main 
Ab meri nazar sr chup chuka hai 
Ik umar se main malool-o-tanha 
Zulmaat ki raah guzar main hoon 
Main aagay barhon keh loat aayon 
Kya soch kay intizaar main hoon 
Koi nahin jo yeh bataiye !!
Main kon hoon ? kis diyaar main hoon 

Suna hai log ussay aankh bhar ky dekhtay hain


Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain 
So us ke shaher main kuch din tehar ke dekhtay hain 

Suna hai rabt hai us ki khraab haalon se
So apnay aap ko barbaad kar ke dekhtay hain 

Suna hai dard ki gaahak hai chasham-e-naz us ki 
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain 

Suna hai us ko bho shair-o-shairyse shaghaf
So hum bhi mohjazay apnay hunar ke dekhtay hain 

Suna hai bolay to baaton se phool jhartay hain 
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain 

Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai 
Sitaray baam-e-falak se utar ke dekhtay hain 

Suna hai din ko ussay titliyaan statai hain 
Suna hai raat ko jugnoo tehar ke dekhtay hain 

Suna hai hashar hain us ki ghazaal si aankhain 
Suna hai us ko hiran (deer) dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain ka'kalain  us ki 
Suna hai shaam ko saye guzar  ke dekhtay hain 

Suna hai us ke labon se gulaab jaltay hain 
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

Suna hai aaiyna-e-tamsaal hai jabeen us ki 
Jo sada dil hain ussay aah bhar ke dekhtay hain 

Suna hai us ke badan ki taraash aisi hai 
Keh phool apni qubaein kutar ke dekhtay hain 

Bas ik nigah se lut'ta hai qaflaa dil ka 
So reh'waan-e-tamana bhi dar ke dekhtay hain 

rukay to gardashain us ka tawaaf karti hain 
Chalay to us ko zamanay tehar ke dekhtay hain 

Kahaniyaan hi sahi , sab mubaalgay hi sahi 
Agar woh khwaab hai tabeer kar ke dekhtay hain 

Ab us ke shaher main tehrain keh kooch kar jayein 
"Faraz" aao sitaray safar ke dekhtay hain

Woh jo apnay aap main mast ho


Woh jo apnay aap main mast ho 

Mujhay us hansi ki talash hai

Basi hui thi lakeeron main taqdeer ki sitan gari


Basi hui thi lakeeron main taqdeer ki sitan gari 

Ro pari dua bhi jab kabhi haath uthay

Ab ghami aur khushi kya hai


Ab ghami aur khushi kya hai 
Bin teray bhi zindagi kya hai 

Rukh kab se to phairay baithay hain 
Aankhon main phir nami kya hai 

Dil hi nahin ab ghar bhi khaali hai 
Halaat ki ab'tari kya hai 

Woh to dost naye bana le ga 
Us be'wafa ko kami kya hai 

Log khafa ab hain wafa se bhi 
Baat aisi bhi kahi kya hai 

Kacchi umar kay ab nahin "Amjad"
Phir yeh wajah-e-dil'lagi kya hai 

Jehad-e-musalsal meri zindagi hai


Jehad-e-musalsal meri zindagi hai 
Kahin jaa kay manzil mujhay ab mili hai 

Main ro'on ya tarpon mujhay gham nahin hai 
Teri hi khushi main meri her khushi hai 

Tera payar ban kay ghatta mujh pe chaye 
Meri saans main bhi teri hi nami hai 

Khayalon main her pal tu hi jhil'milaye 
Koi hoor-e-jannat ya tu ik pari hai 

Nazar main bharay hain kai rang tu ne
Raah-e-zeest main ho gayi roshni hai 

Tujhay jab na dekhon , na chain aaye dil ko 
Lagan tujh se dil ki yeh kaisi lagi hai 

Kahon kya tujhay aur dil-o-jaan kay maalik 
Meri dharkano main teri raftagi hai

Woh mera hai magar is ehsaas se inkaar karta hai


Woh mera hai magar is ehsaas se inkaar karta hai 
Bharri mehfil main mujhay ruswa woh her baar karta hai 

Youn to karta hai zamanay bhar ki baatein mujh se
Magar jab baat mohabbat ki ho to takraar karta hai 

Sitam jab apnay sunata hai bhari mehfil main to 
Baray andaz se apnay gunahon ka izhaar karta hai 

Woh mujh se maangta hai umar bhar ki wafa ka wada 
Kis masoomiyat se woh mujh se fariyad karta hai 

Maloom hai sab ko khafa hai aaj kal mujh se woh "Haris" 
Magar main janta hoon keh woh mujhi se payar karta hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...