Jun 27, 2014

Log kehtay hain keh saagar ko khuda yaad nahin



Kab hui pyaar ki barsaat mujhay yaad nahin 
Khouf main doobi mulaqaat hamain yaad nahin 

Main to madhosh tha kuch itna us ki chahat main 
Us ne kab chorr dia sath mujhay yaad nahin 

Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaati hai 
Jane kis jurram ki paai hai saza yaad nahin 

MAin ne palkon se dar-e-yaar pe dastak di hai
Main woh saahil hon jissay koi sadaa yaad nahin 

Aao ik sajda karain aalam-e-madhoshi main 
Log kehtay hain keh saagar ko khuda yaad nahin

Kab hui pyaar ki barsaat mujhay yaad nahin


Kab hui pyaar ki barsaat mujhay yaad nahin 
Khouf main doobi mulaqaat hamain yaad nahin 

Main to madhosh tha kuch itna us ki chahat main 
Us ne kab chorr dia sath mujhay yaad nahin 

Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaati hai 
Jane kis jurram ki paai hai saza yaad nahin 

Main ne palkon se dar-e-yaar pe dastak di hai
Main woh saahil hon jissay koi sadaa yaad nahin 

Aao ik sajda karain aalam-e-madhoshi main 
Log kehtay hain keh saagar ko khuda yaad nahin

Be'hiss hain yahan log ' bhala soch kar karna


Be'hiss hain yahan log ' bhala soch kar karna 
Iss dour main logon se wafa soch kar karna 

Ik baar jo roothay to mana tum nahin sako gy 
Hum jaisay faqeeron ko khaffa soch kar karna 

Gul shaakh se bichray to kahin ka nahin rehta 
Tum zaat meri khud se juda soch kar karna 

Aisa na ho , aa jayein udaasi ki rutein  phir
Mann daa'er ki maghmoon fiza soch kar karna 

Main daar ka waris hoon , guzarish hai keh faa'iq
Meray liye tajveez saza soch kar karna

Main apni dosti ko shaher main ruswa nahin karta


Main apni dosti ko shaher main ruswa nahin karta 
Mohabbat main bhi karta hoon magar charcha nahin karta 

Jo mujh se milne aa jaye main us ka dil se khaadim hoon 
Jo uth kat jana chahye main ussay roka nahin karta 

Jissay main chor deta hoon ussay main bhool jata hoon 
Phir us hasti ki jaanib kabhi dekha nahin karta 

Tera israar sar aankhon pe keh tum ko bhool jaaon main 
Main koshish kar ke dekhon ga magar wada nahin karta 

Her aik muskurahat muskaan nahin hoti


Her aik muskurahat muskaan  nahin hoti 
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti
Ansoo kushi ky gham ky , hote hain aik jaisay 
In ansoo'on ki koi pehchaan nahin hoti 
Haan ,Her aik muskurahat muskaan  nahin hoti 
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti

Her baat hai wahin pe par matlab badal gaya hai 
Dil dag'maga gaya tha , par hum sambhal gaye hain 
Aisay bhi aatay hain din , jeetay hain log lekin 
Hota hai aur sab kuch , par jaan nahin hoti
Haan ,Her aik muskurahat muskaan  nahin hoti 
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti

Hote hain is jahan main chaheray bhi aik jaisay 
Ghoongat bhi aik jaisay , sehra bhi aik jaisay 
Sab jaanti hain nazrain , pehchanti hain nazrain 
Apni paraai surat anjaan nahin hoti 
Haan ,Her aik muskurahat muskaan  nahin hoti 
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti

Kiya cheez hai yeh dil bhi , ho jaye jab akela 
Rehta hai sath is ky yaadon ka ik mela
Duniya bhi choot jaye , her aas toot jaye 
Mehfil yeh kabhi dil ki veeraan nahin hoti 
Ansoo kushi ky gham ky hote hain aik jaisay 
In aansoo'on ki koi pehchaan nahin hoti
Haan ,Her aik muskurahat muskaan  nahin hoti 
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti


 

Dil ka tumharay jo safhaa hai


Dil ka tumharay jo safhaa hai 

Woh aaj bilkul sada hai 

Is par bhi ti likha tha hum ne 

Aik naam kabhi 

Paighaam kabhi 

Ashaar kabhi 

Sarkaar kabhi 

Woh safhaa 

Tum ne dho dala 

Woh safhaa

Bilkul khaali  hai 

Ab kaaghaz ke is safhay ko 

Kiyon aagay la kar rakhtay ho ?

Koi naam , 
Paighaam
Ashaar 
Likhain 

Hum log to jo sarkaar likhain 

Aik baar likhain

Agar kabhi zindagi mile to hamain bhi kehna


Agar kabhi zindagi mile to hamain bhi kehna 

Keh yahan to sirf saansain chal rahi hain 

Sari umangain , sari tarangain 

Mit chuki hain 

Munafaqat ky siayah , andhera taveel shab hai 

Na chal rahi hai na kat rahi hai 

Agar kabhi roshni mile to hamain bhi kehna 

Keh apna sara safar to aisay hi

Jisay dairay main guzar raha hai 

Na koi manzil na koi rasta hai 

Na koi jugnoo na rah'numa hai 

Agar kabhi raasta mile to hamain bhi kehna 

Agar kabhi rah'numa mile to hamain bhi kehna 

Agar kabhi roshni mile to hamain bhi kehna 

 

Kisi haath ne kisi loh pe jo nahin likha


Kisi haath ne kisi loh pe jo nahin likha 

Wohi ik harf-e-gumaan hain hum 

Khat-e-gumshuda main likhi gayi 

Koi ajnabi si zubaan hain hum 

Kisi aur khita-e-dard pe jo guzar gaya 

Usi waqat ki tag-o-tez ka 

Koi be'nishaan sa nishaan hain hum 

Kabhi apnay wehmay se nikal kar duniya ko dekha

To na khul sake keh kahan hain hum 

Meri jaan hamari yeh dastaan 

Isi asmaan ki chatt talay 

Isi keh'kishaan ky darmiyaan 

Kai baar likhi gayi kai baar sunni gayi 

Yeh hadees naghma-e-ba'sada

KAbhi surkh poolon ki tez khshboo'on main ruk gayi 

KAbhi ansoo'on main rawaan hui 

Yeh wohi shaam shaam-e- wisaal hai 

Jo tamaam raat jali kabhi 

Kabhi ik pal maun dhuwan hui 

To jo ho gaya ussay maan ly

Keh woh daagh woh hain jo sath bharon 

Keh panoyon se na dhul sakein gy 

Hawa ky raastay main urrnay wae udaas lamhay 

Na ruk sake hain na ruk sakein gy 

To jo ho gaya ussay maan le




Sahil-e-samandar par aik shakhs baitha hai

Sahil-e-samandar par 

Aik shakhs baitha hai 

Aur us ke hath main 

Aik dairy bhi hai 

Dairy ky safon ko 

Aik aik phaar kar 

Is tarah urrata hai 

Jis tarah ko qaidi

Qaid se rehai par 

Qaid fakhtaa'on ko 

Asmaan dikhata hai 


Yakeen ki aakhri had tak, Yakeen hai aur dawa bhi


Yakeen ki aakhri had tak, Yakeen hai aur dawa bhi 

Keh ruksat kar ky bhi aakhir

Nazar ki aakhri had tak mujhay tu dekhta ho ga 

Magar itne yaqeen ky baad bhi main ne 

Kabhi mur kar nahin dekha 

Bas ik gehra sa dar tha 

Kahin aisa na ho jaye

Palat kar main ussay dekhon 

To wapis ja chuka ho
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...