Jul 15, 2014

Hum hi main na thi koi baat yaad na tum ko aa sake


Hum hi main na thi koi baat yaad na tum ko aa sake
Tum ne hamain bhulaa diya ,hum ne tumhain bhula sake

Tum hi agar na sun sake qissa-e-gham ,sunay ga kon
Kis ki zubaan khulay gi phir hum na agar suna sake

Hosh main aa chukay thay hum jsoh main aa chukay thay hum 
Bazam ka rang dekh kar sar na magar utha sake

Ronaq-e-bazam ban gaye lab pe shikayatein rahein 
Dil main shikayatein rahain , lab na magar hila sake

Shouq-e-wisaal hai yahan ,lab par sawaal hai yahan 
Kis ki majaal hai yahan hum se nazar mila sake

Aisa ho koi naam-e-bar baat par kaan dhar sake
Sun ke yaqeen kar sake , jaa ke unhain suna sake

Ajz se aur barh gayi barhami, mizaaj dost 
Ab woh kare ilaaj , dost jis ki samjh main aa sake

Ehal-e-zubaan to hain bhout, koi nahin hai ehal-e-dil 
Kon teri tarah "Hafeez" dard ke geet gaa sake

Ab is ke baad ghannay junglon ki manzal hai


Ab is ke baad ghannay junglon ki manzal hai 

Yeh waqat hai keh palat jayein humsafar meray

Sab se youn milna keh jaisay dil main koi dukh na ho


Sab se youn milna keh jaisay dil main koi dukh na ho 

Mujh main yeh khoobi bhi hai , sab khamiyon ke ba'wajood

KAshti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla


KAshti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla

Aur doobnay waalon ka jazba bhi nahin badla

Hai shouq-e-safar aisa aik arsay se yaroo

Manzil bhi nahin paai rasta bhi nahin badla

Ishq ki taqweem main asar-e-rawaan ke siwa


Ishq

Ishq ki taqweem main asar-e-rawaan kay siwa

Ishq dam-e-jibraiel , ishq dil-e-mustufa (pbuh)

Aur zamanay bhi hain jin ka nahin koi naam

Ishq khuda ka rasool (pbuh) , ishq khuda ka kalaam

Ishq ki masti se hai paikar-e-gul-e-taabnaak 

Ishq fiqiya-e-haram , ishq ameer-e-junood 

Ishq hai seh'baaiay khaam , ishq hai kaas-ul-ikraam 

Ishq hai ib-nas-sabeel , is kay hazaron maqaam

Woh mujh se door ho kar khush hai to rehnay do ussay


Woh mujh se door ho kar khush hai to rehnay do ussay 

Mujhe chahat se ziada us ki muskurahat pasand hai

Khudaya hum unhain dekhain 

Keh un ka dekhna dekhain

Shamma mizaar thi , na koi sogawaar tha


Shamma mizaar thi , na koi sogawaar tha 
Tum jis pe ro rahay thay , woh kis ka mazaar tha

Tarpon ka umar bhar dil-e-marhoom kay liye 
Kam bakhat, na'muraad,larkapan ka yaar tha 

Soda-e-ishq aur hai wehshat kuch aur shai
Majnoo ka koi dost fasana nigaar tha 

Jadoo hai ya talisam tumhari zubaan main hai 
Tum jhoot keh rahay thay mujhay aitabaar tha 

Kiya kiya hamaray sajday ki ruswaiyaan huyein 
Naqsh-e-qadam kisi ka sar-e-raah guzaar tha 

Is waqat tak wazah main aya nahin hai farq
Tera karam shreek jo parwar'digaar tha 

Gul tera rang chura laye hain gulzaaron main


Gul tera rang chura laye hain gulzaaron main 
Jal raha hoon bhari barsaat ki bocharon main 

Mujh se katra ke nikal jaa magar ae jaan-e-haya 
Dil ki lo dekh raha hoon teray rukhsaaron main 

Husan-e-be'gaana ehsaas-e-jamaal acha hai 
Gunchay khiltay hain to bik jaate hain bazaron main 

Zikar kartay hain tera mujh se be'unwaan-e-jafa
Chara gar phool pro laye hain talwaaron main 

Zakham chup saktay hain lakin mujhe fun ki so'gand 
Gham ki doulat bhi hai shamil meray shahkaaron main 

Mujh ko nafrat se nahin pyaar se masloob karo 
Main to shamil hoon , mohabbat ke gunnah'gaaron main 

Poet : Ahmed Nadeen Qasmi

Kahin tum bhi na ban jana mazmoon kisi kitaab ka


Kahin tum bhi na ban jana mazmoon kisi kitaab ka 

Log baray shouq se parhtay hain kahaniyaan be'wafaon ki
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...