Sep 1, 2014

Bara-e-naam sahi koi meharbaan to ho

Bara-e-naam sahi koi meharbaan to ho
Hamaray sar pe bhi honay ko aasmaan to ho 

Teri faraakh'dili ko duaein deta hoon 
Meray labon pe teray lams ka nishaan to ho 

Yeh aur baat keh woh ab yahan nahin rehta 
Magar yeh us ka basaya hua makaan to ho 

Ilaawa is kay na kuch aur parda rakh mujh se
Fasal-e-jisam mere teray darmiyaan to ho 

Bichar kar zinda nahin reh sakain gay hum dono 
Mujhay yeh weham to hai us ko yeh gumaan to ho 

Saron pe saya figaan abar-e-arzoo na sahi 
Hamaray paas sarabon ka sayebaan to ho

KAisay bhool gaye woh guzray huye din

KAisay bhool gaye woh guzray huye din 
Lagta nahin tha us ka dil mere bin 

Doston se kaha karta tha woh bhi 
Kiya yeh bhi jee sakta hai mere bin 

Mazaaq ban jaya karta tha jo doston main 
Khud ko tanha samjhta tha mere bin 

Issay had-e-dewaangi kahoon ya pagalpan 
Tasawur main woh batain kiya karta tha mere bin 

Woh mousamon kay badalnay se darta nahin tha lakin 
Bahaar main murjhaya karta tha mere bin 

Ab aas toot gayi us kay aanay ki 
Lagta hai jeena seekh chuka hai mere bin

Ek aas lagana chahtay hain

Ek aas lagana chahtay hain 
Teray dar pe aana chahtay hain 

Kuch nazar-e-karam ho hum par bhi agar 
Hum sar ko jhukana chahtay hain 

Kiya do gay hamain sari khushiyan 
Hum daaman ko phailana chahtay hain 

Teray kaanday par sar rakh kar hum 
Gham apna sunanaana chahtay hain 

Tum kiya chaho gay hum se kaho ?
Hum khud ko mitaana chahtay hain

Teray dar pe aana chahtay hain

Ek aas lagana chahtay hain 
Teray dar pe aana chahtay hain 

Kuch nazar-e-karam ho hum par bhi agar 
Hum sar ko jhukana chahtay hain 

Kiya do gay hamain sari khushiyan 
Hum daaman ko phailana chahtay hain 

Teray kaanday par sar rakh kar hum 
Gham apna sunanaana chahtay hain 

Tum kiya chaho gay hum se kaho ?
Hum khud ko mitaana chahtay hain

Aug 31, 2014

Khwaab jhootay kisi ko dikhaya nahin kartay

Meri jaan youn kisi ko staya nahin kartay 

Aik baar youn kisi ko keh kar apna 
Daaman phir us se vhuraya nahin kartay 

Us kay intizaar se bhala kiya ho ga hasil 
Aanay ka keh kar bhi jo aya nahin kartay 

Rakhtay hon jo dard bhara dil apnay seenay main 
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahin kartay 

Do qadam saath chal kar jo juda ho jayein 
Aisay logon ko to hamsafar banaya nahin kartay 

Kis tarah guzarti ho gi zindagi un ki 
Pehli mohabbat ko jo dil se bhulaya nahin kartay 
 
Na bhujha chragh-e-diyaar-e-dil , Na bicharnay ka tu malaal kar

Tujhay de gi jeenay ka hosla , meri yaad rakh le sambhaal kar 

Yeh bhi kiya keh aik hi shakhs ko , kabhi sochna kabhi bhoolna 

Jo na bujh sakay woh dia jala , jo na ho sakay woh kamaal kar 

Gham-e-aarzoo meri justagoo, main simat kay aagay ru'baru

Yeh sakoot-e-marg hai kis liye , main jawaab doon tu sawaal kar 

Tu bichar raha hai to soch lay, tera saath hai meri zindagi 

Tujhay rokna meri mout hai , meri be'basi ka khyal kar 

Yeh jo ik saa'at-e-wasal hai , sar-e-saat-e-zehan jami hui 

Issi aik saa'at wisaal ko kabhi maah kar kabhi saal kar 

Mere dard ka mere zabat ka , meri be'basi mere sabar ka 

Jo yaqeen na aye to dekh lay , tu hawa main phool uchaal kar 

Teri sarhaon pe main kiyon rukon mujhay rok mat mujhay jaanay dy

Meri saari umar safar ki hai , mujhay is qadar na nidhaal kar 

Jo kabhi mily , woh kabool kar mujhay chor day mujhay bhool jaa

MAin hoon jazib-e-sitam aashna , tu bas apnay ghar ka khyaal kar 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...