Sep 4, 2014

Hui bar'baad yeh basti , chalo ab loat chaltay hain

Gira kay aankh se moti , chalo ab loat chaltay hain 

Ae kaash ! aisa kabhi hota , woh bas jata mere mann main 
Dil apna bhi bana deh'shati , chalo ab loat chaltay hain 

Yeh meri bad'naseebi hai , ussay paa kar ganwaya hai 
Meri taqdeer hai roti, chalo ab loat chaltay hain 

Mitta deta andheron ko , jala kar aaj ghar apna 
Nahin yeh jut bhi jalti , chalo ab loat chaltay hain 

Muyassar hi sakoon hota dar-o-dewaar se mujh ko 
Nahin ghar baar se banti , chalo ab loat chaltay hain 

Uthaa kar haath , marnay ki duaein maang loon lakin 
KAhan hai mout bhi milti, chalo ab loat chaltay hain 

Chalo hamdam phir us par , aur wahan tak saath chaltay hain 
Jahan tak saans hai chalti , chalo ab loat chaltay hain 

Jab sar-e-shaam us ne zulfon ko sanwara ho ga

Haath main kangan aankh main kajal awara ho ga 

Us kay joray main saja woh surkh gulaab 
Raat sotay main kisi ne to utaara ho ga 

Aalam-e-tanhai main shab bhar karwatein lay kar 
Koi to ho ga jissay us ne pukaara ho ga 

Haye! woh neend main doobi hui makhmoor nigahein 
Jis ne dekha wahin dil apna woh hara ho ga 

Us kay be'taab laraztay huye honton pe "Wasi"
HAi yaqeen hum ko mavhalta hua naam hamara ho ga

Tera muskuraata hua aana hum ko acha laga

Woh tera shram se guzar jana acha laga 

Door se dekhna woh tera paas aa kar 
woh tera nazrain jhukana acha laga 

Woh jo barson se teray seenay main qaid hai 
Woh tera Aankhon se batana acha laga 

Tera jaatay waqat mur kay na dekhna  
Phir qadmon ka ruk jana acha laga 

Tu falak ki tarah chaya tha mujh par 
Aaj woh falak ka toota tara acha laga 

Suna hai mohabbat main hotay hain her taraf andheray 
Aaj duniya ka woh qaul sacha laga

Kabhi us ka chehra gulaab hua karta tha

Kabhi us ka chehra gulaab hua karta tha 

Sab ki nazron ka woh khwaab hua karta tha 

Chaand sitaray us kay samnay maand partay thay 

Woh to khud mahtaab hua karta tha 

Lahja bikhra aisa keh sambhal napaya 

Woh jo apni misaal aap hua karta tha 

Ab tanhai kay andheron main kahin gum hai 

Woh ik shakhs jo aftaab hua karta tha

Apni mohabbat ka her gham , main hans hans kay utha'on ga

Par gham na kar , tu be'wafa hai , yeh main kisi ko nahin bata'on ga 

Hai qurbaan meri zindagi ki her khushi tujh par 

Dil to cheez hai kiya , yeh jaan bhi tujh pe luta doon ga 

Apni mohabbat ka her gham 

Par hamesha tarpaaein gi meri chah'atein tujh ko 

Jis tarah rulaati hai tere ishq ki baatein mujh ko 

Tarpay gi tu yaad kar kay pyaar ko mere 

Sab khaak huye , teri qasam aur waday teray 

Aur teray bina main bhi to kabhi chain nahin paaon ga 

Apni mohabbat ka her gham 

Tu rahay abaad hamesha yeh dua hai meri 

Mujh par to hansti hai yeh tanhaiyaan meri 

MAin to shayed mar kar bhi ab chain nahin paaon ga 

Apni mohabbat ka her gham main hans hans kar uthaon ga 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...