Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Sep 28, 2014
Ab woh meray saath hai
Kitni ajeeb baat hai
Keh ab woh meray saath hai
Kitni ajeeb baat hai
Woh tab bhi meray saath thi
Par tab , dooriyaan bhi thein
Chahat ko aik honay main
Bhout si majbooriyaan bhi thein
Hum tab bhi baat kartay thay
Hum ab bhi baat kartay hain
Tab card khatam ho jaatay thay
MAgar baat khatam na hoti thi
Ab samnay hain main aur woh magar
Kiyon sochna parta hai , agar
Koi baat us se kehni ho
Khusiyaan dhoondtay dhoondtay
Hum kabhi na kabhi mar jayein gay
JAb tum murr kay dekho gay
Tab hum nazar nahin ayein gay
Khusiyaan dhoondtay dhoondtay
Dukh kitnay uthaein gay
Raah main aanay wale sab
Mushkalon se takraain gay
Phir bhi hum ko nahin yaqeen
Tujh ko bhool jayein gay
Faisal is qissay ko hum
Kab talak dohraain gay
Tu ne hum ko jaana nahin
Pyaar hamara maana nahin
Shayed tu hum ko samjha sakay
Dil ko yeh samjhain gay
Hum kabhi na kabhi mar jayein gay
Haath ab woh khaali hain meri qismat ki maanind
Zindagi ka haasil hain
Chand sookhay pattay jo
Un raahon pe bikhartay hain
Jin par hum tum chaltay hain
Haathon main thaamay haath
Haath ab woh khaali hain
Meri qismat ki maanind
Raatain bhi ab khaali hain
Meri zulfon ki maanind
Door yeh zardi ho jaye
Chaa jaye her soo nayi bahaar
Tayer bhi jo thak baithay hain
Ho jayen urrnay ko tayaar
Ho jayen urrnay ko tayaar
Aa jaao agar tum aik baar
Itna bas tum se kehtay hain
Hum thak kar aankahin mond na lain
Faisal , aur kitna intizaar
Mohabbat ki sabhi baatain hum seenay main chupaatay hain
Mohabbat baandh leti hai
HAmain kuch kachay dhaagon se
Jinhain hum tor detay hain
Kisi anjaanay ko pehlay
Hum apna maan letay hain
Ussay phir chor detay hain
Mohabbat ki sabhi baatain
Hum seenay main chupaatay hain
Magar dil tor detay hain
Hayaat ka yeh haseen manzir
Kisi sahaaray kharra hai dekho
Hayaat ka yeh haseen manzir
LAga jo taisha , Girray ga aisa
JAhan bhi dekho gay
Gard ho gi
Dhuawain ki maanind
Hawa main urrti
Yeh kehti ho gi
MAin bhi thi ab tak , haseen manzir
Mujhay bhi jeenay ki aarzoo thi
Magar tha urnay ka shouq ziada
Hawa main urrana tha , urr rahi hoon
Saharay lakin kiyon hil rahay hain
Zameen-o-akaash kiyon mil rahay hain
Khayaal haqeeqat main dhal rahay hain
Yahan pe meri bisaat kiya hai
Mera sahara-e-hayaat kiya hai
Teri dua main , teri dua hai
Wagarna meri bisaat kiya hai
Meri bisaat kiya hai
Kisi sahaaray kharra hai dekho
Hayaat ka yeh haseen manzir
LAga jo taisha , Girray ga aisa
JAhan bhi dekho gay
Gard ho gi
Dhuawain ki maanind
Hawa main urrti
Yeh kehti ho gi
MAin bhi thi ab tak , haseen manzir
Mujhay bhi jeenay ki aarzoo thi
Magar tha urnay ka shouq ziada
Hawa main urrana tha , urr rahi hoon
Saharay lakin kiyon hil rahay hain
Zameen-o-akaash kiyon mil rahay hain
Khayaal haqeeqat main dhal rahay hain
Yahan pe meri bisaat kiya hai
Mera sahara-e-hayaat kiya hai
Teri dua main , teri dua hai
Wagarna meri bisaat kiya hai
Khuli jo aankh to manzir ajeeb tha
Khuli jo aankh to manzir ajeeb tha
Dard tha magar dil kay qareeb tha
Dhoonda hum ne jis ko haath ki lakeeron main
Pata chala woh kisi aur ka naseeb tha
Mujhe udaas rehne ki adat daal di usne
Mere jism se meri rooh nikaal di usne
Mujhe udaas rehne ki adat daal di usne
Main ny jb b usay apna bnana chaha
Baton Baton mein baat taal di us ny
Kisi ne us se pucha k chahat kya hy dost
Pehle to bohot roya phr meri misaal di usne
Us ne kaha pagal Qismat pe itna Bharosa na kiya karo
Main ne kaha Mere liye bhi Dua kia kro
Us ne kaha is ki Fikar na kiya kro
Main ne kaha Mere Zehan pe Rehta hai Bojh sa
Us ne kaha Chupke se thora Ro liya kro
Main ne kaha Ratoon ko Neend nahi aati
Us ne kaha Soney ki Koshish to kya kro
Main ne kaha Dil me teri Yadain hain
Us ne kaha Dil ko Samjha Liya kro
Main ne kaha Tere Milne ki koi Umeed hai
Us ne kaha pagal Qismat pe itna Bharosa na kiya karo
Subscribe to:
Posts (Atom)