Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Nov 20, 2014
Around the corner i have a friend
Around the corner i have a friend
In this great city that has no end.
Yet the days go by and weeks rush on
And before i know it, a year is gone.
And i never see my old friend's face
For life is a swift and terrible race.
He knows i like him just as well
As in the days when i rang his bell.
And he rang mine but we are younger then
And now we are busy tired man.
Tired of playing foolish game
Tired of trying make a name.
Tomorrow i say i'll call on him
Just to show that i am thinking of him.
But tomorrow comes and tomorrow goes
And distance between us grows and grows.
Around the corner yet miles away
Here is a telegram he is died today
And that is what we get and deserve in the end
Around the corner a vanished friend.
Ehal-e-qabar ko yaad koi aaya bhout hai
Aaj qabar ki matti main kuch nami si hai
Ehal-e-qabar ko yaad koi aaya bhout hai
Frishto tumharay sawalon jawaabon ka aadi hoon main
Sari zindagi duniya ne aazmaya bhout hai
Ab to sonay do hamin sakoon se qabar main apni
Ta'umar intizaar ne hamain jagaya bhout hai
Ab tak beh rahay hain aansoo bheega hua hai kafan
Dushmano tum dena mujhay kaandha , doston se staya bhout hai
Darta hoon koi samjh na baithay issay doli dulhan ki
Meray janazay ko logon ne sajaya bhout hai
Ro deta hoon jab bhi guzarta hoon ghayal kay manzar se
Kam'bakhat ne jeetay jee mujhay hansaya bhout hai
Kuch pal apnay hamaray naam kar jaana
Tum jo hum se door to ik kaam kar jaana
Kuch pal apnay hamaray naam kar jaana
Agar aa jaye mout hamain teray aanay se pehlay
Tu aa kar meray janazay ka ehtraam kar jaana
NA rona is qadar keh takleef ho hamain
Mout ko bhi mazaak samjh kar anjaan ban jaana
Main ik din so jaaon ga sada kay liye
Phir mujhay be'wafa keh kay badnaam kar jaana
Jo guzro meri qabar se to nazrain na phairna
Mehmaan hi ban kay salaam dua kar jaana
Woh paani ki lehron pe kiya likh rahi thi
Woh paani ki lehron pe kiya likh rahi thi
Khuda jaanay harf-e-dua likh rahi thi
Likha jis ne nowal wafa ka adhoora
Wohi pyaar ki intihaa likh rahi thi
Bhala kartay kartay guzri jawaani
Magar phir bhi khud ko bura likh rahi thi
Zara us ki aankhon se aansoo na niklay
Woh jis waqat lafaz-e-saza likh rahi thi
Namaz-e-mohabbat main woh apnay
Huye thay jo sajday qaza likh rahi thi
Meray hamsafar abhi soch lay
Mujhay yaad koi dua nahin meray hamsafar abhi soch lay
Tu meri jabeen pe likha nahin meray hamsafar abhi soch lay
Abhi raasta bhi hai dhool main abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh se gila nahin meray hamsafar abhi soch lay
Main janam janam se naraaz hoon main janam janam se udaas hoon
MAin kabhi khul kay hansa nahin meray hamsafar abhi soch lay
Tu hai khwaab khwaab pukaarta meri aankh main nahin ashk bhi
MAin muddaton se jiya nahin meray hamsafar abhi soch lay
Tujhay khushboo'on ki hai aarzoo tujhay roshni ki hai justagoo
Main hawa nahin diya nahin meray hamsafar abhi soch lay
Tujhay aansoo'on ka pata nahin tujhay ratjagon ka gumaan nahin
Tujhay is se aagay pata nahin meray hamsafar abhi soch lay
Kabhi choot sakta hai darmiyaan na zameen milay gi na aasmaan
Tujhay raastay ka pata nahin meray hamsafar abhi soch lay
Mujhay dhoondta hi phiray ga tu na jiye ga roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pe mila nahin meray hamsafar abhi soch lay
Kaho loutna hai kaisay yahaan meray dard sun meray meharbaan
Meray paas waqat zara nahin meray hamsafar abhi soch lay
gaye mousamon ka ab hisaab rehnay do
Jaagti aankhon main chand khwaab rehnay do
gaye mousamon ka ab hisaab rehnay do
Kal agar bichar gaye to yaad dilaye ga yeh
Hamaray saath aansoo'on ka sailaab rehnay do
Jo hum ne kahi thein tumhain khat main kabhi
Un baaton ka jawaab rehnay do
Saja'o tum kisi aur ki duniya khushi se
Hamari aankhon ko youn hi be'khwaab rehnay do
Hum kaanton kay aadi hain dosto
Kisi aur ko day dena , yeh gulaab rehnay do
Ussay main ne hi likha tha keh lehjay barf ho jayein
Ussay main ne hi likha tha
Keh lehjay barf ho jayein
To phir pighla nahin kartay
Prinday dar kay urr jayein
To phir loata nahin kartay
Ussay main ne hi likha tha
Yaqeen uth jaye to shayed
Kabhi wapis nahin aata
Hawaon ka koi toofaan
Kabhi baarish nahin laata
Ussay main ne hi likha tha
Keh sheesha toot jaye to
Kabhi phir jurr nahin paata
Jo raastay se bhatak jaye
Woh wapis murr nahin paata
Ussay kehna woh be'mahni adhoora khat
Ussay main ne hi likha tha
Ussay kehna keh dewaanay
Mukamal khat nahin likhtay
Hum jo tootay to is tarah tootay
Hum jo tootay to is tarah tootay
Jaisay haathon se gir kar pathar par
Koi shafaaf aaina tootay
Jaisay palkon se toot kay aansoo
Jaisay seenay main ik kamaan tootay
Jaisay umeed ki nazuk daali
Barg mousam main na'gahaan tootay
Jaisay aankhon main khwaab ki doori
Waqat-e-takmeel se ulajh jaye
Jaisay pairon talay zameen niklay
Jaisay sar par yeh asmaan tootay
Jaisay ik shaakh pe bhroosa kiya
Is pe jitnay thay aashiyaan tootay
Jaisay wehshat se hosh aa jaye
Jaisay ta'dair main dihaan tootay
Ab jo raiza huye to sochtay hain
Kis ne dekh tha tootna apna
Hum jo tootay to raigaan tootay
Kehnay ko us se mera koi waasta nahin
Kehnay ko us se mera koi waasta nahin
Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahin
Darta hoon aankh khoolon to manzar badal na jaye
Main jaag to raha hoon magar jaagta nahin
Aashaftagi se us ki ussay be'wafa na jaan
Aadat ki baat aur hai dil ka bura nahin
Tanha udaas chaand ko samjho na be'khabar
Her baat sun raha hai magar bolta nahin
Khamosh rat'jagon ka dhuwaan tha chaar soo
Nikla kab aftaab mujhay to pata nahin
Amjad woh aankhain jheel si gehri to hain magar
Un main koi bhi aks meray naam ka nahin
Subscribe to:
Posts (Atom)