Dec 3, 2014

Tanha udaas chaand ko samjh na be'khabar


Tanha udaas chaand ko samjh na be'khabar 

Her baat sun raha hai magar bolta nahin

Kabhi samoya kabhi daboya kabhi nikaal baahir phainka


Kabhi samoya kabhi daboya kabhi nikaal baahir phainka 

Samandar-e-ishq teri aadatain meray apno jaisi hain

Yeh jo dewanay se do chaar nazar aatay hain


Yeh jo dewanay se do chaar nazar aatay hain 
In main kuch saahib-e-israar bhi nazar aatay hain 

Teri mehfil ka bharam rakhtay hain so jaatay hain 
Warna yeh log to be'daar nazar aatay hain 

Door tak koi sitaara hai na koi jugnoo 
Marg-e-umeed kay asaar nazar aatay hain 

Meray daman main shraaron kay siwa kuch bhi nahin 
Aap phoolon kay kharidaar nazar aatay hain 

Kal jissay choo nahin sakti thi farishton ki nazar 
Aaj woh ronq-e-bazaar nazar aatay hain 

Hashar main kon gawahi meri de ga sagar 
Sab tumhaaray hi taraf'daar nazar aatay hain 

Ek tera pyaar paa loon bas yahi sapna mera tha


Manzil bhi teri thi aur raasta bhi tera tha 
Ek tera pyaar paa loon bas yahi sapna mera tha 

Aik hum akelay reh gaye , aur poora sansaar tera tha 
Saath saath rehnay ki soch bhi teri thi 

Phir akelay chor jaanay ka khyal bhi tera tha 
Haathon main haath lay kar mujhay hansaanay ki kasam bhi teri thi 

Phir meri aankhon main aansoo'on ka sailaab bhi tera tha 
Hum kiyon yahaan tanha reh gaye , Mera dil sawaal karta hai 

Qismat teri thi par kiya khuda bhi tera tha 
Khuda bola us pe aaitabaar karnay ki ghalti teri thi 

Ussay dost bananay ka khyal bhi tera tha 
Ussay chahnay ki ghalti bhi teri thi 

Ussay apnaanay ka khyal bhi tera tha 
Ussay kiyon gham ho teray jaanay ka ?

Kiya us ne kabhi kaha tha woh sirf tera tha

Kabhi meri zindagi tha woh


Ho chuka ab kisi ka woh 
Kabhi meri zindagi tha woh 

Bhoolta hai kon mohabbat pehli 
Meri to saari khushi tha woh 

Phool ki tarah muskuraata tha 
Meray honton ki hansi tha woh 

Baad barson kay ussay dekha tha 
Aaj bhi utna hi haseen tha woh 

Zindagi naam jis kay kar di 
Log kehtay hain ajnabi tha woh

Kar rahay hain woh bhi zubaani mohabbatain


Ab reh gayein kahaan woh puraani mohabbatain 
Kar rahay hain woh bhi zubaani mohabbatain 

Is raah pe chalo to tumhain yaad rahay 
Hoti nahin hain asaan nibhaani mohabbatain 

Her mor her qadam pe tumhain yaad aayon gi 
Asaan nahin hain meri bhulaani mohabbatain 

Dil ka na haal poochiye chehra hi dekhiye
Hum ko bhi aa gaye hain sajani mohabbatain

Us ko bhi dil ka haal bataya na ja saka


Palkon pe aansoo'on ko sajaya na ja saka 
Us ko bhi dil ka haal bataya na ja saka 

Zakhmon se choor choor tha yeh dil mera 
Ik zakham bhi us ko dikhaya na ja saka 

Jab teri yaad ayi to koshish kay ba'wajood 
Aankhon main aansoo'on ko chupaya na ja saka 

Kuch log zindagi main aisay bhi aye hain 
Jin ko kisi bhi lamhay bhulaya na ja saka 

Bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho 
Hum se to ehal-e-gham bhi sunaya na ja saka 

Woh muskuraya tha meray ru'ba'ru magar 
Chehray ka rang us se chuppaya na ja saka 

Tanhaiyon ki aag main hum jal gaye 
magar faasla jo darmiyaan tha mitaya na ja saka

Jo raaz na rakh paye humraaz badal daalo


Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo 
Jo raaz na rakh paye humraaz badal daalo 

Tum ne bhi suni ho gi bara aam kahaawat hai 
Anjaam ka jo ho khatra aaghaaz badal daalo 

Pur soz dilon ko muskaan na day paye 
Sur hi na milay jis main woh saaz badal daalo 

Dushman kay iraadon ko hai zaahir agar karna 
Tum khail wohi khailo andaaz badal daalo 

Aye dost karo himmat kuch door sawera hai 
Agar chahtay ho manzil to parwaaz badal daalo

Main pee kay chup raha woh pila kay chup raha


Main pee kay chup raha woh pila kay chup raha 

Kiya gulaab tha jo murjha kay chup raha 

Halaat ne kar diya ussay itna sang'dil 

MAin sun kar ro para woh suna kay chup raha 

Shayed woh torna nahin chahta tha dil mera 

Is liye itna qareeb aa kay chup raha 

Woh door ho gaya main kuch bhi na kar saka 

Aankhon se faqat aansoo baha kay chup raha 

Sab ghazlain be'mahni niklein unwaan-e-wafa ki


Sab kitaabain jhooti niklein dastaan-e-wafa ki 
Sab ghazlain be'mahni niklein unwaan-e-wafa ki 

Kaisa iztaraab machal raha hai kisi khaana-e-dil main 
Yeh kis ka payaam layi hain hawaein ehad-e-wafa ki 

Kahaan se milta hai sira barson ki uljhanon ka 
Shayed keh kuch karishma kar jayein zulfain be'wafa ki 

Chalo zameen ki wusaton main talaash kartay hain 
Koi to basti ho gi jahan mil jayein sooratain ehal-e-wafa ki 

Hum to roz dil kay dasht main gulaab chunna kartay hain 
Hum ne dekh rakhi hain sab kraamatain dard-e-wafa ki 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...