Mar 28, 2015

Zindagi ka ajab moa'mala hai


Zindagi ka ajab moa'mala hai 

Aik lamhay main faisala keejiye

Kisi kay zarf ko itna na azmaa


Kisi kay zarf ko itna na azmaa

Her shakhs apni zaat main bara la'jawaab hai

Us ki juz buz se parishaan nahin ho sakta


Us ki juz buz se parishaan nahin ho sakta 
Dil agar dil hai to halkaan nahin ho sakta 

Yaad us ki hai to bar'baad nahin ho sakti
Zehan mera hai to be'dhiyaan nahon ho sakta 

Kis qanaa'at se raha ghar meray aa kar mehmaan
Yeh koi aur hai mehmaan nahin ho sakta

Mera jo haal hua dil kay hawalay se hua 
Dil bhi aisa jo pashemaan nahin ho sakta 

Main ne ik shakhs se khamosh mohabbat ki hai 
Yehni hum dono ka nuqsaan nahin ho sakta 

Kaar-e-dushwaar nimet'ta nahin jab tak Mohsin 
Doosra kaam bhi asaan nahin ho sakta

Ab hai bas apna samna dar'paish


Ab hai bas apna samna dar'paish 

Her kisi se guzar gaya hoon main

Duniya main qateel us sa munafaq nahin koi


Duniya main qateel us sa munafaq nahin koi 

Jo zulm to sehta hai baghawat nahin karta

Do chaar nahin mujh ko faqat aik hi dikha do !!


Do chaar nahin mujh ko faqat aik hi dikha do !!

Woh shakhs jo andar se bhi baahir ki tarah ho

Heef ! Daraazi is qissay ki , is qissay ko khatam karo


Heef ! Daraazi is qissay ki , is qissay ko khatam karo

Kya tum niklay apnay ghar se , apnay ghar se hum niklay

Main teray dar pe lagaaon ga kuch is tour sada


Main teray dar pe lagaaon ga kuch is tour sada 

Dekho raqs karein gay teray darbaan ab kay

Raaston ki marzi hai


Raaston ki marzi hai 

Be'zameen logon ko 
Be'qaraar aankhon ko 
BAd'naseeb qadmon ko 
Jis taraf bhi le jayein 
Raaston ki marzi hai 
Be'nishaan jazeeron par 
Bad'gumaan shehron main 
Be'zuban mussafir ko 
Jis taraf bhi bhatkaa dein 
Raaston ki marzi hai 
Rok lain ya barhnay dain 
Thaam lain ya girnay dain 
Wasal ki lakeeron ko 
Tor dain ya milnay dain
Raaston ki marzi hai 
Ajnabi koi laa kar
Humsafar bana daalein 
Saath chalnay walon ki 
Raakh bhi urra daalein 
Ya musaaftein sari 
Khaak main mila daalein 
Raaston ki marzi hai 

Woh mujhay bhool hi gaya ho ga


Woh mujhay bhool hi gaya ho ga 

Itni muddat koi khafa nahin rehta
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...