Apr 3, 2016

Bhout din se mujhay kuch un'kahay alfaaz ne be'chain kar rakha hai


Bhout din se
Mujhay kuch un'kahay alfaaz ne be'chain kar rakha hai 
Mujhay sonay nahin detay 
Mujhay hansanay nahin detay 
Mujhay ronay nahin detay 
Youn lagta hai 
Keh jaisay saans seenay main  kahin thehri hui hai 
Youn lagta hai 
Keh jaisay tez garmi main 
Zara si dair ko barish baras kay ruk gayi hai 
Ghutan charon taraf phaili hui hai 
Bhout din se
Meri aankhon main sapno ki 
Koi doli nahin utri 
Bhout din se
Khayalon main , dabay paon 
Koi apna nahin aaya 
Bhout din se
Woh sab jazbay 
Jo meri shairy kay mousamon main rang bhartay thay 
Kahin soye huye hain 
Main un ko dhoondnay 
Is zindagi kay dasht main nikla to hoon lakin 
Mujhay maloom hai , jazbay 
Agar ik baar kho jayein 
To phir wapis nahin miltay 
Mujhay maloom hai phir bhi 
Abhi ik aas baqi hai 
Main ab us aas ki ungli pakar kar 
Chal raha hoon 
Ba'zahir shabnami thandak mujhay ghairay huye hai 
Magar main jal raha hoon 
Main ab tak chal raha hoon 


Aag hain amal meray ya sawaab rehnay de


Aag hain amal meray ya sawaab rehnay de
Hashar main hi dekhein gay yeh hisaab rehnay de

Zindagi mo'alm hai tujh ko sab sikhaa de gi 
Is ko seekh lay , parhna her kitab rehnay de

Wasal ki her ik khwaish wasal se bhi behtar hai 
Samnay nigahon kay yeh saraab rehnay de

Yeh na ho kahin tujh ko la'jawab kar doon main 
Kuch sawal rehnay de , kuch jawab rehnay de

Ishq ki musafat main , pyar main , mohabbat main 
Kya kisi ne paya hai , yeh hisaab rehnay de

Gham ko gham se behlana aa kay seekh lay hum se 
Aanso'on ko pee lay tu aur sharab rehnay de

Hum faqeer logon ka aik hi asaasa hai 
Aankh kay katoray main chand khawab rehnay de


Is tarah kay hadsay mujh ko satanay lag gaye


Is tarah kay hadsay mujh ko satanay lag gaye 
Bhool baitha tha jinhein woh yaad aanay lag gaye 

Bas yeh kehna tha " mujhay tum se mohabbat hai " magar 
Yeh bata'nay main mujhay kitnay zamanay lag gaye 

Kuch purani dosti ko yaad kiya , main ne kiya 
Muskura'iye hont , aansoo jhil'milanay lag gaye 

Rut'jagay , teri mohabbat ki ba'doulat mil agye
Dekh meray haath main kaisay khazanay lag gaye 

Hum ne aksar is tarah apna uraaya hai mazaq
Be'basi had se barhi to muskuranay lag gaye 

Kon rokay ga bikharnay se unhein ab dosto 
Aandhiyon kay haath phir se aashiyanay lag gaye

Inayaton ka kabhi wehshaton ka qa'il hoon


Inayaton ka kabhi wehshaton ka qa'il hoon 
Mohabbaton main bari shidaton ka qa'il hoon 

Zameen shaher bhalay mujh pe tang karo lakin 
Tumhein khaber hai keh main hijraton ka qa'il hoon 

Yeh soch kar meray aangan main tum diya rakhna 
Hawa ka dost hoon main aandhiyon ka qa'il hoon 

Her ik mor pe main dil ki baat sunta hoon 
Main raah-e-ishq main kab mashwaron ka qa'il hoon 

Kisi bhi shakhs ko dushman main keh sakta nahin 
Main dushmani main bhi chand zaabton ka qa'il hoon 

 

Apr 2, 2016

Us ki palkon pe koi khawab saja rehnay de


Us ki palkon pe koi khawab saja rehnay de
Habs barh jaye ga is dar ko khula rehnay de 

Meray maalik tu bhalay cheen lay go'yaai meri 
Meray honton pe faqat aik dua rehnay de

Meray khawabon ko bhataknay se bachanay kay liye 
Shab ki dehleez pe yaadon ka diya rehnay de

Be'rukhi hi teray mujrim kay liye kafi hai 
Us se munh mor le koi aur saza rehnay de

Chand ban kar teray kamray main utar aaon ga 
Aaj ki raat to khirki ko khula rehnay de


Kisi mousam main bhi janaa


Kisi mousam main bhi janaa


Kisi mousam main bhi janaa
Hamari yaad ka dil se
Agar jo raabta tootay 
To dil ko dosh mat dena 
Samjh lena 
Keh jo tum se yeh kehta tha 
"Tumhara pyar jeewan hai "
Woh ab aisa nahin kehta 

Dost jaisi , kabhi dushman ki tarah lagti hai


Dost jaisi , kabhi dushman ki tarah lagti hai 
Zindagi tu kisi uljhan ki tarah lagti hai 

Aik lamhay main meray mann ko bighoo deti hai 
Us ki her baat hi sawan ki tarah lagti hai 

Teray chehray pe udasi hai meray ghar ki tarah
Teri halat meray aangan ki tarah lagti hai 

Tu bhi ulfat kay taqazon ko nahin samjhi hai 
Teri uljhan , meri uljhan ki tarah lagti hai 


Lahu ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon


Lahu ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon 
Meri aankhein bata'ti hain keh main sonay se darta hoon 

Meri ungli pakar lena , mujhay tanha nahin karna 
Yeh duniya aik mela hai , tumhein khonay se darta hoon

Jo hansti ho to kiyon palkon kay goshay bheeg jatay hain 
Tumhein maloom hai , main is tarah ronay se darta hoon 

Yeh jab se khawab dekha hai , mujhay tum chor jao gi 
Main ab darta hoon khawabon se , main ab soany se darta hoon 

Woh rangon main dhali larki kabhi jab baat karti hai




Woh rangon main dhali larki 
kabhi jab baat karti hai 
To us kay lafz khushbu ki tarah mehsoos hotay hain 
Woh hansti hai to jaisay sara aalam us hansi main doob jata hai 
Woh lab us kay , woh aankhein woh chehray ki shadabi 
Keh jaisay apsara koi 
Woh mera naam leti hai to meri rooh main jaisay nasha sa ik utarta hai 
Mera mann jhoom uth'ta hai 

Woh rangon main dhali larki
Jhukaye apni aplkon ko kabhi mujh se jo kehti hai 
Mujhay tum se mohabbat hai 
To us ka shar'mageen lehja yaqeen mujh ko dilaata hai keh duniya khoobsurat hai 

Woh rangon main dhali larki 
Udasi kay ghanay sayon ko jab bhi orh leti hai 
Mera dil khoon rota hai 
Main us ki sharbati  aankhon kay num se bheeg jata hoon 

Woh rangon main dhali larki 
Jissay mujh se mohabbat hai 
Mera izhaar sunti hai to phir sab bhool jati hai 
Jhukaye apni palkon ko woh aisay muskurati hai 
Keh jaisay apsara koi 

Woh rangon main dhali larki 
Meray lafzon main rehti hai 
Mujhay aksar yeh kehti hai 
Mujhay tum se mohabbat hai

Hawa kay haath aik paighaam


" Hawa kay haath aik paighaam "

Ussay kehna
abhi tak dil dharakta hai
Abhi tak saans chalti hai
Abhi tak yeh meri aankhein
Sohanay khawab bunti hain
Meray honton ki jumbish main
Tumhara naam rehta hai
Abhi baarish ki boondon main
Tumhara pyar baqi hai
Ussay yeh bhi bata dena
Abhi izhaar baqi hai
Abhi yaadon kay kaanton se
Mera daman ulajhta hai
Tumhara pyar seenay main
Kahin ab bhi dharakta hai
Hawa ab bhi mawafiq hai
Hamaray saath chalti hai
Ussay kehna
Judai ka abhi mousam nahin aaya
Mohabbat ki kahani main
Kahin par gham nahin aaya
Magar sab kuch badalnay main 
Bhala kya dair lagti hai
Kisi ki yaad dhalnay main
Bhala kya dair lagti hai
Nayi subha nikalnay main 
Bhala kya dair lagti hai
Ussay kehna
Woh jaldi faisala kar lay
Naye raston pe chalnay main
Bhala kya dair lagti hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...