Apr 10, 2016

Kabhi safar to kabhi shaam le gaya mujh se


Kabhi safar to kabhi shaam le gaya mujh se
Tumhara dard kai kaam le gaya mujh se

Mujhay khabar na hui aur zamana jatay huye 
Nazar bacha kay tera naam le gaya mujh se

Bhala kahan koi juz us kay milnay wala tha 
Bas ik jurrat-e-na'kaam le gaya mujh se 

Bas ik lamhay kay sach jhoot kay iwaz Farhat 
Tamam umar ka ilzaam le gaya mujh se

Laakh doori ho magar ehad nibhatay rehna


Laakh doori ho magar ehad nibhatay rehna 
Jab bhi baarish ho mera sog manatay rehna 

Tum gaye ho to sar-e-shaam yeh aadat tehri 
Bas kinaray pe kharay haath hilatay rehna

Keh bhej baitha hoon de kay khat teri taraf


Keh bhej baitha hoon de kay khat teri taraf 
Yeh hawa ' yeh bhi kab kisi kay huye bhala 

Youn hi baat baat main zikar aaya tha ishq ka 
Woh na janay kaisi gharri thi tab se gayi nahin 

Na juda huye ho kabhi na miltay ho theek se
Tujhay kis ne bakhshi hain raat din ki yeh aadatein 

Yeh jo aasman hai kahin kahin se chatakh gaya 
Kisi bad'naseeb ki bad'dua to nahin lagi 

Tu to baraf jaisa raha hamesha salook main 
Teray tapaak milan se  phaili hain hairatein 



Udas shamein , ujaar rastay kabhi bulaein to loat aana




Udas shamein , ujaar rastay kabhi bulaein to loat aana 
Kisi ki aankhon main rat'jagon kay azab ayein to loat aana 

Abhi nayi wadiyon , naye manzaron main reh lo magar meri jaan 
Yeh saray ik aik kar kay jab tum ko chor jaye to loat aana 

Jo shaam dhaltay hi apni apni panah'gahon ko lot'tay hain 
Agar woh panchi kabhi koi dastaan suna'ein to loat aana 

Naye zamano ka karb orhay zaeef lamhay nidhaal yaadein 
Tumharay khawabon kay band kamron main loat ayein to loat aana 

Main roz youn hi hawa pe likh likh kay us ki janib yeh bhejta hoon 
Keh achay mousam agar paharon pe muskura'ein to loat aana

Agar andheron main chor kar tum ko bhool jayein tumharay sathi 
Aur apni khatir hi apnay apnay diye jala'ein to loat aana

Zindagi , jaisay koi zard safar mout zada


Zindagi , jaisay koi zard safar mout zada 
Sang , haiwaan ' shajar mout , mout zada 
Muskuraein to hansay jati hai 
Zakham khaai hui taqdeer ' dagar mout zada 
Aur ronay kay liye bethein to rumalon par 
Jhar jharata hua emaan sulag uth'ta hai 
Jazab honay hi nahin deta kisi aansoo ko 
Bheeg jati hai jabeen sadmay ki 
Din chamakta hai saro hum tamana 
aur phir 
Door girti hui peelahat main 
Char maraai hui ik shaam latak aati hai 
Raat parti hai to kartay hain basar mout zada 
Is tarah jaisay saleebon se bandhi be'chaini 
Mout se agla koi khouf basar karti hai
Kis farishtay ka giribaan pakar kar poochein 
Hanstay bastay huye bazaron par 
Kis ne daali hai nazar mout zada 
Dil lab-e-dard 
Parishaan khayalat ki chokhat se laga baitha hai 
Jis tarah se koi pas maanda aziz 
Dam-ba-dam doobti yaadon ki saf-e-maatam par 
Thaam kar baitha ho , sar mout zada 
Zindagi ....
Zindagi , dard ka ghar mout zada 
Khirkiyan sard 
Dareechay khamosh 
Sehan veeran 
Shajar mout zada 
Rooh sun'saan 
Khabar mout zada 
Dil biyabaan 
Asar mout zada 
Bastiyan , gaon , mohalay , chopaal
Adh mari aas , bashar mout zada

Socha to mera aks tha aankhon main tumhari


Socha to mera aks tha aankhon main tumhari 
Dekha to bhout khaali nazar aayi woh jheelain 

Her roz kisi gham ki khalish kheench laye 
Bichray huye mousam ki guzar'gaah pe mujh ko 

Ik hijar hai , aata hai jo her raat meray paas 
Phir pehron kya karta mujh se teri baatein 

Be'chaini kay aalam se gurezan to bhout hoon 
Lakin kisi sehra main paray dil ka karon kya 

Phir dekho meray haal pe rota hai bhala kon 
Veerani-e-dil Aa tujhay aankhon main basa loon

Dil kaaba dil masjid mandir


"Dil"

Dil kaaba 
Dil masjid mandir 
Dil darbar-e-faqeeran 
Dil duniya 
Dil urran khatola
Dil zindan-e-aseeran

Meray baad dard ki dastaan tujhay kon aa kay sunaye ga


Meray baad dard ki dastaan 
Tujhay kon aa kay sunaye ga 

Mujhay raastay main khabar mili 
Woh to shaher  hi se chala gaya 

Meri zindgani kay khaar-o-khas 
Koi jatay jatay jala gaya 

Meray rat'jagon ko khabar karo 
Mujhay neend aayi hai dekhnay 

Main to apnay aap main hi nahin 
Mujhay meray haal pe chor do  

Bara sakhat hai tera raasta
Mujhay meri raah pe mor de 

Tujhay kaisay lagta hai din dhalay 
Kisi dukh ka seenay main tootna


Is qadar achi tarah janta hai


Is qadar achi tarah janta hai 
Woh mujhay lakhon main pehchanta hai 

Meri her baat kahan sunta hai 
Meri her baat kahan maanta hai 

Dard'ba'dar milta nahin kuch dil ko 
Dar'ba'dar khaak hi bas chaanta hai 

Tu kahan hai tu kahan hai jani 
Dil shab-o-roz pe gardanta hai 

Tujh ko paa lena hai her qeemat par 
Koi her lamha yahi thaanta hai

Khushbu sa badan yaad na sanson ki hawa yaad


Khushbu sa badan yaad na sanson ki hawa yaad 
Ujray huye baghon ko kahan baad-e-saba yaad 

Aati hai parishani to aata hai khuda yaad 
Warna nahin duniya main koi teray siwa yaad 

Jo bhoolay hain magar teray ilawa 
Ik bichra hua dil aata hai sada yaad 

Main to ab ik umar se pachtawon ki zad main 
Kya tum ko bhi aati hai kabhi apni khata yaad 

Mumkin hai bhala kaisay ilaaj-e-gham janan
Jab koi dawa yaad na hai koi dua yaad 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...