Apr 13, 2016

Sab raastay dushman huye ashjaar mukhalif


Sab raastay dushman huye ashjaar mukhalif 
Tu mera hua hai to huye yaar mukhalif 

Buniyaad rakhon koi to buniyaad hai dushman 
Dewar utha'ta hoon to dewaar mukhalif 

Hathon main utha letay hain ozaan kay pathar 
Suntay hi nahin hain meray Aashaar mukhalif 

Main ishq ko humdard samjh baitha tha yaro 
Lagtay na thay is behar kay asaar mukhalif 

Doon jaan to qurbani samjhta nahin koi 
Gar thora sambhalta hoon  to ghar baar mukhalif 

Is shaher ko sach sun'nanay ki aadat hi nahin hai 
Lagtay hain sabhi ko meray afkaar mukhalif 

Suntay thay keh bas hotay hain agiyaar mukhalif 
Meray to nikal aaye hain sab yaar mukhalif 

Jo baat bhi ho dil main chupata nahin "Farhat"
Her roz bana leta hoon do chaar mukhalif
 

Baahir bhi apnay jaisi khudai lagi mujhay


Baahir bhi apnay jaisi khudai lagi mujhay 
Her cheez main tumhari judai lagi hui 

Jeewan main aaj teray liye ro nahin saka 
Jeewan main aaj raat paraai lagi mujhay 

Mehandi jacchi kuch aisay teray narm haath par 
Ik kainaat dast-e-hinaei lagi mujhay 

Pati teri palak ka kinara mujhay lagi 
Shaakh-e-gulaab teri kalaai lagi mujhay 

Dharkan main taal teray khayalon  ki baj uthi 
Saanson main teri naghma saraai lagi mujhay 

Haq main usi kay faisala her shakhs ne diya 
Her shakhs tak usi ki risaai lagi mujhay 

Mohabbat karnay wali larki


Mohabbat karnay wali larki 

Jaisay tap'tay sehraon main gum'garda raah musafir
Jaisay khaali raston par mud'daton se atki hui nam'naak nigah 
Jaisay veeran ho janay wala jazeera
Jaisay waseh-o-areez fizaon main door door tak tanha badli 
ya 
JAisay ajnabi shaher main apno se bichar janay wali bachi

Abhi se pooch raha hai mujh se sajan seedha saadha


Sajan seedha saadha

Abhi se pooch raha hai mujh se sajan seedha saadha 
Tum ko pyar ziyada hai ya mujh ko pyar ziyada 

Jhoot bhi keh do tab bhi manon  
Main to apna hi janu 
Main tum se kuch bhi na kahon gi 
Karti hoon yeh wada 
Tum ko pyar ziyada hai ya mujh ko pyar ziyada 

Pyar kay lahkhon deep jalaein 
Ik doojay kay saath nibhaein Ik doojay ka maan rakhein gay 
Kar lain aaj irada ....
Tum ko pyar ziyada hai ya mujh ko pyar ziyada 
Veerani ko shaher bana dain
Chand ka pehla pehar bana dain 
Dil main sab jeewan aa jaye 
Itna karein kashada
Tum ko pyar ziyada hai ya mujh ko pyar ziyada 


Laakh doori ho magar nibhatay rehna


Laakh doori ho magar nibhatay rehna 
Jab bhi baarish ho mera sog manatay rehna 

Tum gaye ho to sar-e-shaam yeh aadat thehri 
Bas kinaray pe kharay haath hilatay rehna 

Janay is dil ko yeh aadaab kahan se aaye 
Us ki raahon main nigahon ko bichatay rehna 

Aik muddat se yeh ma'mool hua hai ab to 
Aap hi roothna aur app manatay rehna 

Tum komaloom hai "Farhat" keh yeh pagal'pan hai 
Door jatay huye logon ko bulatay rehna

Kahin aarzu-e-safar nahin , kahin manzalon ki khabar nahin


Kahin aarzu-e-safar nahin , kahin manzalon ki khabar nahin 
Kahin raasta hi andhera hai , kahin paa nahin kahin par nahin 

Mujhay iztaraab ki chah thi mujhay be'kali ki talaash thi 
Inhi khwaishaat kay jurm main koi ghar nahin koi dar nahin 

Koi chaand tootay ya dil jalay ya zameen kahin se ubal paray 
Hum aseer surat-e-haal hain , hamein haadsaat ka dar nahin 

Ae hawa-e-mousam zara mujhay saath rakh meray saath chal 
Meray saath meray qadam nahin meray paas meri nazar nahin 

Yeh jo umar bhar ki riyazatein yeh nagar nagar ki musafatein 
Yeh to rog hain mah-o-saal ka yeh to gardashein hain safar nahin

Main ne dekha dewano ko shaam kay baad


Main ne dekha dewano ko shaam kay baad 
Dhoond rahay thay veerano ko shaam kay baad 

Tareeki phir saray aaib chupa lay gi 
Lay aana ghar meh'mano ko shaam kay baad 

Main ne us ka sog manaya kuch aisay 
Khali rakha pai'mano ko shaam kay baad 

Yaad karay jab mujh ko teri tanhai 
Dekha karna gul'dano ko shaam kay baad 

"Farhat" chand khouf se kar leta hoon band 
Kamray kay roshan'dano ko shaam kay baad  

Ae Ishq mujhay azaad kar do


Ae Ishq mujhay azaad kar do 

Kitni hi 
Zanjeerain 
Dil main 
No'keelay taptay aahan se bhi 
Kahin ziyada chubti hain 
Aur ghutan ki bojhal dewarein to 
Jaisay pusht aur seenay par tameer hui hon 
Ajab ajab se pachtaway 
Aur bila jawaaz pash-e-mani  si 
Sanson aur aankhon main aksar 
Pisi hui mirchon ki sulgan door door tak bhar deti hai 
Be'chaini kay halqay rooh ko 
Sakhti se jakray rakhtay hain 
Aansoo galay ko 
Andar se pakray rakhtay hain 
Hijar ki jailein 
Shaher ki jailon se barh charh kar 
Umar da'boch liya karti hain 
Jo kuch karna ho aakhir main 
Pehlay soch liya karti hain

Deeda-e-num main sakoon dhoondtay hain


Deeda-e-num main sakoon dhoondtay hain 
Hum teray gham main sakoon dhoondtay hain 

Shaher bhar se hain marasam apnay 
Phir bhi kam kam main sakoon dhoondtay hain 

Hum bhout heech aza'daar teray 
Teray maatam main sakoon dhoondtay hain 

Log ghabra'iye huye baarish kay 
Khushk mousam main sakoon dhoondtay hain 

Aap kay naam main sukh patay hain 
Aap kay dam main sakoon dhoondtay hain 

Tujh se hum is liye miltay hain bhout 
Rabt-e-pe'ham main sakoon dhoondtay hain 
 

Kaha main ne kahan ho tum jawab aaya jahan ho tum


Kaha main ne kahan ho tum 
Jawab aaya jahan ho tum 

Meray jeewan se zaahir ho 
Meray gham main nihaan ho tum 

Meri to sari duniya ho 
Mera sara jahan ho tum 

Meri sochon kay mehwar ho 
Mera zor-e-biyaan ho tum 

Main hoon lafz mohabbat hoon 
Magar meri zuban ho tum
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...