Apr 21, 2016

Tujh ko chor kay aayi thi jab aankh main gham ka pani tha


Tujh ko chor kay aayi thi jab 

Aankh main gham ka pani tha

Hont jo dekhay payasay thay 

Haath jo dekhay ' khaali thay 

Sara jag sawali tha 

Dil main jhaanka " khaali tha "

" Mohabbat ho Oas " mohabbat agan ho


" Mohabbat ho Oas " mohabbat agan ho 
Mohabbat ki rooh ho , mohabbat badan ho 
Yeh maathay ki bindiya 
Yeh haathon ki mehandi 
Yeh pairon ki payal 
Mohabbat bana doon 
Kahin se main laa kay yeh honton ki laali 
Aur aankhon ka kajal 
Mohabbat bana doon 
Mohabbat ka dil ho , mohabbat ki saansein 
Mohabbat ka din ho , mohabbat ki raatein 
Mohabbat kay lab hon , mohabbat kay andaz 
Mohabbat kay dhab hon 
Mohabbat milay to 
Mohabbat se keh doon 
Mohabbat hai jaana 
Mohabbat main rehtay hain aksar hi gum say 
Mohabbat ko de do 
Mohabbat se sab kuch 
Main dono jahan ko mohabbat bana doon 
Mohabbat ko laa kay mohabbat dikha doon 
Main tum pe mohabat , mohabbat luta doon 
Main tum ko mohabbat , mohabbat bana doon 
Par itni mohabbat ko 
Tum kya karo gay .......?"

Khayalon main basi hai jo mo'atar reshmi larki


Ussay dekho to ik gehra samandar hai woh shehzadi 
Na janay kon hai jis ka muqadar hai woh shehzadi 
Main kaisay yeh bataon kitni sundar hai woh shehzadi 

Khayalon main basi hai jo mo'atar reshmi larki 

Baharein , phool , kaliyan us kay daman se hain wabasta 
Mo'atar shabnami jhonkay hain khidmat par kamar basta 
Kisi maahir ne phoolon se banaya hai yeh guldasta 

Khayalon main basi hai jo mo'atar reshmi larki 

Yahi bas jee main aata hai keh us kay paas jaa ponchon 
Gira kay sab hijabon ko ussay dekhon , ussay poojon 
Chupa hai jo raaz dil main woh sab duniya ko batla doon 

Khayalon main basi hai jo mo'atar reshmi larki 


Shaam kay ujaalon main apnay narm haathon se


Shaam kay ujaalon main 
Apnay narm haathon se
Koi baat achi si 
Koi khawab sacha sa
Koi bolti khushbu 
Koi sochta lamha 
Jab bhi likhna chaho gay 
Soch kay dareechon se
Yaad kay hawalon se
Mera naam chup chup kar 
Tum ko yaad aaye ga 
Haath kaamp jayein gay 
Shaam thehar jaye gi

Mera to ranjishein sari mitanay ka irada tha


Mera to ranjishein sari mitanay ka irada tha 
Galay us shakhs ko phir se laganay ka irada tha 

Chalo acha hua us ne mujhay sahil se lotaya 
Mera to kashtiyan warna jalanay ka irada tha 

Macha deti hai phir halchal khayalon main teri yaadein 
Wa'garna tujh ko is dil se bhulanay ka irada tha 

Bari minat samajat se kahin jaa kar woh mana hai 
Jissay do chaar lafzon main mananay ka irada tha 

Woh bazaron main kal aisay bana sanwra sa phirta tha 
Keh jaisay shaher ko pathar bananay ka irada tha 

Ussay ab dekhna bhi to zara acha nahin lagta 
Kabhi aankhon main jo chehra basanay ka irada tha 

Agar veeran shakhon par parindon kay ghar na hotay 
To ab sookhay darakhton ko katanay ka irada tha 

Tumhein hi ik nahin Akhtar yaqeen mano abhi us ka 
Zamanay bhar ko dewana bananay ka irada tha

Surkh jalta hua suraj na chamak'daar sitara dekhein


Surkh jalta hua suraj na chamak'daar sitara dekhein 
Hum to aisay hain keh aankhon ka ishara dekhein 

Kal bharray shaher main yeh soch kay thokar khaai 
Kon deta hai hamein aa kay sahara dekhein 

Dekh mat pooch lakeeron kay ma'ani hum se
Hum to woh hain jo lakeerein na sitara dekhein 

Bas yahi soch kay shehron se nikal aaye hain 
Kaisay hota hai tumhein kho kay guzara dekhein 

Ab to her mor pe hum'raaz badal jatay hain 
Kis ko fursat hai kahan kon pukara dekhein 

Yeh to ijaaz tasawur ka hai teray warna 
Hum to aisay hain keh her mor sahara dekhein 

Log is taak main barson se lagay hain Akhtar 
Us ki khatar hamein kya kya hai gawara dekhein

Apr 20, 2016

Mohabbat jurm ho jaye


" Mohabbat jurm ho jaye "

Ussay kehna ... !
Jo sacha hai 
To phir woh is judai ki 
Wazahat kiyon nahin karta 
Ussay kehna .... !
Keh us se be'itnai ki wajha likhay 
Kahin aisa na ho keh phir 
Zara si aik ghaflat par
Mohabbat jurm ho jaye

Yaad hai jaana tum ne pichli baar kaha tha


" Yaad hai jaana "

Yaad hai jaana 
Tum ne pichli baar kaha tha 
Mujh ko bhool kay khush rehna hai 
Tum ko to main bhool nahin paya 
Lakin jaana 
Chupkay chupkay dukh sehta hoon 
Ab main aksar khush rehta hoon 

Her lafz ko kaghaz pe utara nahin jata


Her lafz ko kaghaz pe utara nahin jata 
Her naam sar-e-aam pukara nahin jata 

Hoti hain mohabbat main kai raaz ki baatein 
Waisay hi to is khel main haara nahin jata 

Aankhon main lagaya nahin jata youn hi kajal 
Zulfon ko bila wajha sanwara nahin jata 

Her shakhs ko toofan bachanay nahin aatay 
Her naao kay hum'rah kinara nahin jata 

Tab tak nahin khultay kabhi israar-e-mohabbat 
Jab tak koi is raah main maara nahin jata

Mohabbat ka safar bhi kya safar hai


Mohabbat ka safar bhi kya safar hai 
Jo adhoora ho nahin sakta 
Mohabbat ka musafir chahay chakna choor ho thak kar
Kahin bhi raastay main ruk nahin sakta 
Aur is main wapsi ki gun'jaish nahin hai 
Mohabbat zindagi bhar ka safar hai 

............

Yeh motor'way ka aik aisa safar hai 
Jis main aata hi nahin "U Turn" koi 
Yeh hai behri jahazon ki musafat 
Behar-e-itlantic kay gehray paniyon main jis tarah 
Koi musafir raastay main apni marzi se
Kahin pe ruk nahin sakta 
Na wapis loat sakta hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...