Jul 22, 2016

Ajab ik tor hai jo hum sitam ijaad rakhein


Ajab ik tor hai jo hum sitam ijaad rakhein 
Keh na us shakhs ko bhulein na ussay yaad rakhein 

Ehad us ko chana-e-dil se hai so us koochay main 
Hai koi apni jaga hum jissay bar'baad rakhein 

Kya kahein kitnay hi niktay hain jo bartay na gaye 
Khush badan ishq karein aur hamein ustaad rakhein 

Be'satoon aik nawahi main hai shaher-e-dil ki 
Tesha inaam karein aur koi farhaad rakhein 

Aashiyana koi apna nahin par shouq yeh hai 
Ik qafs layein kahin se koi siyaad rakhein 

Hum ko infaas ki apnay hai imaarat karni 
Is imaarat ki labon par teray buniyaad rakhein 

Teri qeemat ghat'tai jaa rahi hai


Teri qeemat ghat'tai jaa rahi hai 
Mujhay furqat sikhai jaa rahi hai 

Yeh hai tameer-e-duniya ka zamana 
Havaili dil ki dhaai jaa rahi hai 

Woh shay jo sirf hindustan ki thi 
Woh pakistan laai jaa rahi hai 

Kahan ka deen , kaisa deen , kya deen 
Keh kya garr barr machaai jaa rahi hai 

Sha'oor-e-aadmi ki sar'zameen tak 
Khuda ki ab do'haai jaa rahi hai 

Bhout si suratein manzir main laa kar 
Tamana aazmaai jaa rahi hai 

Mujhay ab hosh aata jaa raha hai 
Khuda teri khudaai jaa rahi hai 

Nahin maloom kya sazish hai dil ki 
Keh khud hi maat khaai jaa rahi hai 

Hai veerani ki dhoop aur aik aangan 
Aur us par lu chaalai jaa rahi hai  

Apnay liye to bas edhi tha (Abdul Sattar Edhi)







Apnay liye to bas edhi tha (Abdul Sattar Edhi)

Deed tha shayed

Zakhmon pe phaya rakhta tha
Tees uthay ya ghaao pukaray
Dard samait kay lay jata tha

Nahin nahin koi paremi tha

Adam zaad se preet lagaye
Her pal yaar ki chahat main gum
Mann main pyar ka deep jalaye

Apnay nagar ka raja tha kya !

Daikh raikh janta ki karna
Her ghaao pe phaya dharna
Aas umeed dilon main bharna

Lagta hai keh dewana tha

Sab se pyar sabhi se chahat
Bair se aur nafrat se nafrat
Sab ki khatar chain aur rahat

Waid tha , raja tha , paremi tha
Tha darwaish , koi sufi tha
Kitnay roop thay woh jo bhi tha

Apnay liye to bas edhi tha

Khidmat hi meraas hai us ki
Hum'dardi hai us ka wirsa
Tarka us ka hai gham khawari
Aur hum saray us ka kumba
Ayo , hum waris ban jayein
Jitna bhi hi jis kay bas main
Utna to dukh dard mita'ein
Zakhmon par hum rakhein marham
Andheron main deep jalayein



Jul 16, 2016

Nayi khawaish rachai jaa rahi hai


Nayi khawaish rachai jaa rahi hai 
Teri furqat manaai jaa rahi hai 

Nibhaai thi na hum ne janay kis se 
Keh ab sab se nibhaai jaa rahi hai 

Hamaray dil mohallay ki gali se 
Hamari laash laai jaa rahi hai 

Kahan lazzat woh soz-e-justagoo ki 
Yahan her cheez paai jaa rahi hai 

Khosha-e-ehwaal apni zindagi ka 
Saleeqay se ganwaai jaa rahi hai 

Dareechon se tha apnay , bair hum ko 
So khud deemak lagaai jaa rahi hai 

Judai mousamon ki dhoop suniyo 
Meri kiyaari jalaai jaa rahi hai 

Meri jaan ab yeh surat hai keh mujh se 
Teri aadat churaai jaa rahi hai 

Main peh'ham haar kay yeh sochta hoon 
Woh kya shai hai jo haari jaa rahi hai 

Sar-e-sehra habaab baichay hain


Sar-e-sehra habaab baichay hain 
Lab-e-dariya saraab baichay hain 

Aur to kya tha baichnay kay liye 
Apni aankhon kay khawab baichay hain 

Khud sawal in labon se kar kay miyan 
Khud hi in kay jawab baichay hain 

Zulf koochon main shana kas ne teray 
Kitnay hi page-o-taab baichay hain 

Shaher main hum kharab haalon ne 
Haal apnay kharaab baichay hain 

Jaan-e-man teri be'niqabi ne 
Aaj kitnay niqaab baichay hain 

Meri fariyaad ne sakoot kay saath 
Apnay lab kay azab baichay hain 

Ku-e-jaana main aur kya maango


Ku-e-jaana main aur kya maango
Haalat-e-haal-e-yak sada maango 

Her nafs tum yakeen-e-mun'am se 
Rizq apnay gumaan ka maango 

Hai agar woh bhout hi dil nazdeek 
Us se doori ka silsala maango

Dar-e-matlab hai kya talab angeza
Kuch nahin wahan so kuch bhi maango 

Gosha-e-geer ghubaar-e-zaat hoon main 
Mujh main ho kar mera pata maango 

Us shikam-e-raqs gar kay sahil ho 
Naaf piyalay ki tum ataa maango 

Laakh jan'jaal managnay main hain 
Kuch na maango faqat dua maango 


Jul 15, 2016

Na hum rahay na woh khawabon ki zindagi hi rahi


Na hum rahay na woh khawabon ki zindagi hi rahi 
Guman guman si mehak khud ko dhoondti hi rahi 

Ajab tarah rukh-e-aain'dagi ka rang urra 
Diyaar-e-zaat main az khud gazishtagi hi rahi 

 Hareem-e-shouq ka aalam bata'ein kya tum ko 
Hareem-e-shouq main bas shouq ki kami hi rahi 

Pas-e-nigah-e-tagafal thi ik nigah keh thi 
Jo dil kay chehra-e-hasrat ki taazgi hi rahi 

Ajeeb aaina-e-par'taw-e-tamana tha 
Thi us main aik udasi  jo saji hi rahi 

Badal gaya sabhi kuch is diyaar-e-bu'dash main 
Gali thi jo teri jaan woh teri gali hi rahi 

Tamaam dil kay mohallay ujar chukay thay ,, magar 
Bhout dino to hansi hi rahi , khushi hi rahi 

Woh daastan tumhein ab bhi yaad hai keh nahin 
Jo khoon thooknay walon ki be'hissi hi rahi 

Suna'on main kissay afsana-e-khayal-e-malaal 
Teri kami hi rahi aur meri kami hi rahi 




Hawaas main to na thay phir bhi kya na kar aaye


Hawaas main to na thay phir bhi kya na kar aaye 
Keh daar par gaye hum aur phir utar aaye 

Ajeeb haal kay majnu thay jo ba'ishwa-o-naaz 

Ba'su-e-baad yeh mehmal main baith kar aaye 


Kabhi gaye thay miyan jo khabar ko sehra ki 
Woh aaye bhi to bagulon kay saath ghar aaye 

Koi junoon nahin si da'iyaan-e-sehra ko 
Keh jo azaab bhi aaye woh shaher par aaye 

Batao daam guru chahiye tumhein ab kya 
Prind'gaan-e-hawa khaak par utar aaye 

Ajab khaloos se rukhsat kiya gaya hum ko 
Khayal-e-khaam ka tawaan tha so bhar aaye 

Zikar bhi us se kya bhala mera


Zikar bhi us se kya bhala mera 
Us se rishta hi kya raha mera 

Aaj mujh ko bhout bura keh kar 
Aap ne naam to liya mera 

Aakhri baar tum se yeh kehna hai 
Yaad rakhna na tum kaha mera 

Ab to kuch bhi nahin hoon main waisay 
Kabhi woh bhi tha mubtala mera 

Woh bhi manzil talak ponch jata 
Us ne dhoonda nahin pata mera 

Tujh se mujh ko nijaat mil jaye 
Tu dua kar keh ho bhala mera 

Kya bataon bichar gaya ya raha 
Aik balqees se saba mera 


Juz gumaan aur tha hi kya mera


Juz gumaan aur tha hi kya mera
Faqat ik mera naam tha mera

Nikhat-e-pai'rahan se us gul ki
Sil'sala be'saba raha mera

Mujh ko khawaish hi dhoondnay ki na thi
Mujh main khoya raha khuda mera

Thook de khoon , jaan lay woh agar
Aalam-e-tark-e-mud'da  mera

Jab tujhay meri chah thi jaana !
Bas wohi waqat thi karra mera

Koi mujh tak ponch nahin paata 
Itna asaan hai pata mera 

Aa chuka woh paish murawat se 
Ab chalon kaam ho chuka mera 

Aaj main khud se ho agya ma'yoos 
Aaj ik yaar mar gaya mera 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...