Feb 1, 2017

Chalo gumaan ki had say guzar kay daikhtay hain


Chalo gumaan ki had say guzar kay daikhtay hain
kunwain main kiya hai,kunwain main utar kay dekhtay hain

woh keh rahay hain achoota sa kaam kar daikho
so ,6 ko 5 se tafreeq kar kay daikhtay hain

ab aisi film bhi shayad hi koi ho kay jissay
ikhatthay baith kay afraad,ghar kay daikhtay hain

ab uss kay khaal se chaltay hain gaisu'on ki taraf
simat kay daikh liya hai bikhar kay daikhtay hain

falak per jitnay mulak hain wo apnay channel per
shabana roz tamashay bashar kay daikhtay hain

ab aur kya sar-e-bazaar daikhna anwar
kisi dukaan per chashmay nazar kay daikhtay hain


Is tarah se satanay ki zaroorat kya thi


Boyfriend ki bewafai pe ik ghazal 

Is tarah se satanay ki zaroorat kya thi
Kaminay dil ko jalanay ki zaroorat kya thi

Jo nahi tha ishq to keh diya hota
Apni Aauqaat dekhanay ki zarurat kya thi

Maloom tha keh yeh khawab toot jaein gay
Manhoos phir neend main aanay ki zarurat kya thi

Ishq pe lagti rahein gi her daur main pabandi
Ek ashiq ka dil toornay ki zaroorat kya thi

Maan lo agar keh ye yaktarfa mohabbat the to phir nafsiyaati aadmi
Mujhe daikh kay muskuranay ki zaroorat kya thi

Wo haseen lagti hai lekin kitni tayari kay baad


Sent ki, kajley ki, aur ghaazey ki gulkaari kay baad
Wo haseen lagti hai lekin kitni tayari kay baad

Muddaton kay baad us ko daikh kar aisa laga
Jesay roza-daar ki haalat ho aftaari kay baad

Baandh kar sehraa nazar aaya hai youn nosha miyan
Jis tarha mujrim dikhai deta hai giriftaari kay baad

Heroine 55 baras ki ho chuken to gham nahi
Ab gulukaari karen gi wo adaa-kaari kay baad

Qaum ko baidaar ker, disco music cher kar
Jo bechari so chuki hain raag darbaari ke baad

Eid par masroor hain dono miyan biwi bhout
Ik khareedaari se pehlay, ik khareedaari kay baad

Uqd-e-sani ka maza poocha to bolay sheikh ji
Aaisay lagta hai, chicken chakkha hai tarkaari ke baad

Raah-e-ulfat ki traffic ho keh motor-way ki ho
Haadsey hotay hain shahid, taiz-raftaari kay baad

Pehlay kuch izzat thi jis da'maad ki susral main



Pehlay kuch izzat thi jis da'maad ki susral main
Ban chuka hai ab to chapraasi wohi susral main

Apnay ghar main sher tha, susral main bakri bana
Deedni hai sher-dil ki buzdili susral main

Jab susar ho pehlwan aur boxer saaley sab hi
Uff bhi kar sakta nahi phir aadmi susral main

Kiyon na wo susral kay chakkar lagaye raat din
Saaliyan jis ko milen gulfaam si susral main

Maa’en apni betiyon ki lakh tareefen karen
Chup nahi sakten per un ki khamiyan susral main

Asal main hotay nahi hain us main johar iss qadar
Jis qadar banta hai rashid her koi susral main

Types of aashiq


Types of aashiq 

Ameer aashiq 
Main bhi kharidar hoon main bhi khareedon ga
Piyar kahan bikta hai pata bata doo

Ghareeb aashiq 
Sona na chandi na koi mehal jan-e-mann 
Tugh ko main na day sakoon gaa

Jhoota aashiq 
Kal shab dekha main ne chand jharokay mein 
Uss ko kia salaam tumharay dhokay mein

Sachaa aashiq
Dil ho gaya hai tera dewana aab koi jachta nahin 
Naadan hai samaghta nahin bin teray rehta nahin

Kamyab aashiq
O kendi hai sayaan main teri yaan

Nakaam aashiq
In say nain mila kay dekho 
Yeah dhoka bhi kha kay dekho

Chalaak aashiq 
Buss bhai buss ziyada baat nahin memsaab 
Aaj kay baad mulaqat nahin memsaab

Majboor aashiq 
Izhar bhi mushkil hai kuch keh bhi nahin saktay 
Majboor hain uff allah chup rah bhi nahi saktay

Buzdil aashiq 
Main tera shehar chorr jaon ga

Dheete aashiq 
Chahay jiss shehar bhee jayen chahay jiss mulk bhee jayen 
Main hi mahiwal hoon tera sohniye tu meri gal sun ja 

Izzat daar aashiq 
Teri ruswayon say darta hoon 
Jub teray shehar se guzar taa hoon

Baagh janay ka maza jaata raha


Baagh janay ka maza jaata raha
Ghaas khanay ka maza jaata raha

Boss ne chuthi ki arzi phaar di
Girh-giraane ka maza jaata raha

Ho gaya akhir isi gull se nikah
Gull khilaanay ka maza jaata raha

Nikli begum bhi krate champion
Ghar bsaanay ka maza jaata raha

Jab se ayi hai meri qamqr main chukk
Naaz uthaanay ka maza jaata raha

Dusri bivi mili bhi tandhu
Dan'dnaanay ka maza jaata raha

Jaisay he chhitrol is ne ki
Bulbulanay ka maza jaata raha

Kuch naya kaam tujh ko karna hai



Kuch naya kaam tujh ko karna hai
Bad-ma'ashi main naam karna hai

Khoon do char tu ne ker dalay
Jaibon main noot apni bhar dalay

Taqat-e-zulm jis kay pass nahin 
Jeena duniya main us ko rass nahin 

Jis kay khoon main rachi barood ki bu
Jaanta hai woh zindigi ki kho

Jaahileeyat ka kya ye door aaya
Apnay logon pe tera zoor aaya

Bharam gherat ka to nay toor diya
Peechay zulm-e-arab ko choor diya

Kerna chahta hai kya zara to bol
Girha apni aqal ki kudh to khol

Khoon apna tu kiyon bahata hai
Kiyoon tu apna hi ghar jalata hai

Bachay sehmay huway yeh teray hain 
Tang tujh se yeh saray chehray hain


Guzray dino ki bhuli hui baat ki tarha


Guzray dino ki bhuli hui baat ki tarha

Ankhon main jaagta hai koi raat ki tarah

Tum se umeed thi keh nibhao gay dosti

Tum bhi badal gaye karachi kay halaat ki tarah

Un ki makhmoor nigahoon kay karishmay toba


Un ki makhmoor nigahoon kay karishmay toba

Pak'bazoon ko bhi mah'khaar bana detay hain

Aur pay-ba-pay zulm-o-sitm raah-e-mohabat mein qamar

Aik insaan ko fankaar bana detay hain

Jan 31, 2017

Insaan ka her ayeb chupa deti hai kursi



Insaan ka her ayeb chupa deti hai kursi 

Budhon ko bhi zee'shan bana deti hai kursi 

Shab bhar main yeh muflis ko bana deti hai zar'daar 

Soi hui kismat ko jaga deti hai kursi 

Gaoun main jo mashoor hai "gulu" kay laqb say 

Uss shaks ko gulsher bana deti hai kursi 

Woh log jo mariyaal say nazar atay hain pehlay 

Un logoun ki tawanai ko barha deti hai kursi 

Ta umer woh phir uss kay liye bharta hai aahain 

Ik baar jisay jalwa dikha deti hai kursi 

Woh log jo rehtay hain karaye kay makan main 

Bangloun main unhain la kay bitha deti hai kursi 

Gar sahib-e-kursi hai faqat  3 hi foot ka 

Uss bonay ko  6 foot ka bana deti hai kursi 

Woh log jo ek lafz ada kar nahi saktay 

Taqreer ka fun unn ko sikha deti hai kursi 

Nazdeeq nahi aata niyaz! Iss kay koi bhi 

Jiss shakhs ko ek baar gira deti hai kursi

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...