Feb 2, 2017

Tum kya jano


Tum kya jano 
Aksar lafz bhout zehreelay 
Nagon jaisay ban jatay hain 
Aur aankhon main kirchi kirchi 
Khawabon jaisay ban jatay hain 
Kehnay wala bhool bhi jaye 
Sun'nanay walay kay kaano main 
Angaaray bhar jatay hain 
Tum kya jano 

Tu ne daikha hi nahin manzir meri tanhai ka


Tu ne daikha hi nahin manzir meri tanhai ka 

Ik qayamat hai jo her shaam guzar jaati hai 


Guzar gaye hain bhout din rafaqat-e-shab main


Guzar gaye hain bhout din rafaqat-e-shab main 

Ik umar ho gayi chehra woh chaand sa daikhay 

Teray siwa bhi kai rang khush nazar thay magar 

Jo tujh ko daikh chuka ho woh aur kya daikhay

Meri fitrat ghazal'go hai


Meri fitrat ghazal'go hai
Magar main nazam kehta hoon 
Meri majburiyan mujh ko 
Ghazal kehnay nahin deti
Mera asloob bhi mujh se shikayat karta rehta hai 
Meray ehbaab bhi mujh se shikayat kartay rehtay hain 
Shaher main aisi koi mah'jabeen bhi to nahin rehti 
Ghazal jis par kahi jaye 
"Alaf" sa naak ho jis ka 
To chehra "Noon" jaisa ho 
Haseen aankhein magar woh "Qaaf" kay nuqton jaisi hon 
To gaisu "Laam" jaisay hon 
Woh jis kay azam ki bhi istaqamat bas "Alaf" si ho 
Hon jis kay hont "Bay" jaisay 
Rukh-e-zeba kay khaal-o-khad hijjay hon 
To chehra "inqalaab" uss ka 
Agar tasveer khinch'waye to kaghaz par 
Faqat ik "inqalaab" aaye 

Khiza'on main hota hai imtihaan wafaon ka


Khiza'on main hota hai imtihaan wafaon ka 

Jo shajar ko hon piyaray woh pattay nahin girtay

Mohabbat khawab ki surat


Mohabbat khawab ki surat 

Mohabbat khawab ki surat 
Nigahon main utar'ti hai 
Kisi meh'taab ki surat 
Sitaray aarzu kay 
Kuch is tarah se 
Jag'magatay hain 
Keh pehchani nahin jaati 
Dil-e-be'taab ki surat 
Mohabbat khawaab ki surat 
Mohabbat kay shajar pe
Khawab kay punchi utar'tay hain 
To shaakhein jaag uth'ti hain 
Thakkay haaray sitaray jab 
Zameen se baat kartay hain 
To kab ki muntazir aankhon main 
Sham'mein jaag uth'ti hain 
Mohabbat unn main jalti hai 
Chragh-e-aab ki surat 
Mohabbat khawab ki surat 

Gaye dino ka suraagh lay kar ,kidher se aaya kidher gaya woh


Gaye dino ka suraagh lay kar 
 kidher se aaya kidher gaya woh 

Ajab manoos ajnabi tha
Mujhay to hairaan kar gaya woh 

Khushi ki rutt ho ya gham ka mousam  
Nazar ussay dhoondti hai her dam 

Woh bu-e-gul tha keh naghma-e-jaan  
meray to dil main utar gaya woh 

Bas aik moti si chubbh dikhaa kar 
aik meethi si dhun sunaa kar 

Sitara-e-shaam ban kay aaya 
ba'rang-e-khawab sehar gaya woh 

Kuch ab sambhalnay lagi hai jaan bhi 
 badal chala rang-e-aasman bhi 

Jo raat bhaari thi tal gayi hai 
jo din karra tha guzar gaya woh 

Shakista paa kharra hoon raah main 
gaye dino ko bula raha hoon 

Jo qaafla mera humsafar tha 
ba'misal-e-gard-e-safar gaya woh 

Na ab woh yaadon ka charhata dariya  
na fursaton ki udaas barkha 

Bas zara si kasak hai dil main 
 jo zakham gehra tha bhar gaya woh 

Woh meh'kaday ko jaga'nay wala 
woh raat ki neend uraanay wala 

Yeh kya aaj uss kay jee main aayi
 keh shaam hotay hi ghar gaya woh 

Woh jis kay shaanay pe haath rakh kar 
safar kiya tu ne manzalon ka 

Teri gali se na'janay kiyon aaj 
Sar jhukaa kar guzar gaya woh 

Woh hijar ki raat ka sitara 
Woh hum'nafs hum'sukhan hamara 

Sada rahay naam uss ka piyara 
Suna hai kal raat mar gaya woh 

Woh raat ka be'nawa musafir 
Woh tera shair woh tera nasir 

Teri gali tak to hum ne daikha 
Phir na janay kidher gaya woh 



Sitaray baant'ta hai woh , zia taqseem karta hai


Sitaray baant'ta hai woh , zia taqseem karta hai 
Suna hai habs kay mousam main hawa taqseem karta hai 

Ussi ki apni beti ki hatheli khushk rehti hai 
Jo boorha dhoop main aksar hina taqseem karta hai 

Koi rokay ussay jaa kar sara'sar hai yeh pagal pan 
Jo behron kay mohallay main sada taqseem karta hai 

Ussi se maang tu Mohsin baqi chor de sab ko 
Jo pathar main bhi keeray ko ghizaa taqseem karta hai 

Aur kuch nahin badla


Aur kuch nahin badla 

Aur kuch nahin badla 
Aaj baad muddat kay 
Main ne uss ko daikha hai 
Woh zara nahin badli !

Ab bhi apni aankhon main 
100 sawaal rakhti hai
Choti choti baaton par 
Ab bhi khull kay hansti hai 
Ab bhi us kay lehjay main 
Wohi khan'khana'hat hai 
Woh zara nahin badli !

Ab bhi us ki palkon kay 
Saa'iye geelay rehtay hain 
Ab bhi uss ki sochon main 
Mera naam rehta hai 
Ab bhi meri khatir woh 
Iss tarah hi pagal hai 
Woh zara nahin badli !

Aaj baad muddat kay 
Main ne uss ko daikha hai 
To mujhay bhi lagta hai 
Main bhi uss ki chahat main 
Iss tarah hi pagal hoon 
Baad iti muddat kay 
Aur kuch nahin badla !!
Juz hamaray raaston kay 
Aur kuch nahin badla !


Bichartay lamhay uss ne kaha


Bichartay lamhay 
Us ne kaha 
Jee na paon gi 
Tumharay bin 
Phir aaj muddat baad 
Mehakti hawa
Suna gayi 
Haal us ka 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...