Apr 16, 2020

Uzr aany mein bhi hai aur bhulatey bhi nahi


Uzr aany mein bhi hai aur bhulatey bhi nahi
Baa’is_e_tark_e_mulaqaat btatey bhi nahin

Khoob parda hai keh Chilman say lagay baithay hain
Saaf chupty bhi nahi , Samnay aaty bhi nahin

Dekhtay hi mujhay Mehfil mein Yeh irshaad hua
Kon baitha hai? issay log uthaatey bhi nahin

Ho chuka Qata-e-Talluq to Jafayen kiyon hon
Jin ko mtalab nahin rehta woh Satatey bhi nahin

Zeest say Tang ho aay Daagh to jeetey kiyon ho
jaan payari bhi nahi , jaan say jaatey bhi nahin

Sukoot-e-jaan ka matlab bata do phir chalay jana



Sukoot-e-jaan ka matlab bata do phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansne rone mein
Ussay poori tarah se tum bhula do phir chalay jana

Ya sare pairh podhe tere bin ek rut jage hue
Tum aa ke aik baar in ko sula do phir chalay jana

kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum us ko mita do phir chalay jana

Bus itni si hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikha do phir chalay jana

Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maanay se
Bus in alfaz-o-maanay ko mita do phir chalay jana

Jo tum kehtay kehtay ruk gaye, un sari batoon ki
sa'ma`at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chalay jana

Mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
Mujhe tum doosra unwaan laa do phir chalay jana

Khula hai Jhoot ka bazar, Aao such bolein


Khula hai Jhoot ka bazar, Aao such bolein
Na ho bala say Kharidar, Aao such bolein

Sukoot chahya hai insaniyat ki Qadron par
Yehi hai moqa-e-izhaar, Aao such bolein

Humein gawah banaiya hai waqat nay apna
Be-naam-e-azmat-e-kirdar, Aao such bolein

Suna hai waqat ka Haakim bara hi Musanif hai
Pukar kar sar-e-darbar, Aao such bolein

Tamam shehar mein aik bhi nahi “Mansoor”
Kahein gay kea rasan o daar, Aao such bolein

Jo “wasaf” hum mein nahi kyon krein kisi mein talaash
Agar Zameer hai bay-daar, Aao such bolein

Chupaaye say kaheen chuptay hain Daag chehray kay
Nazar hai Aaina bardaar, Aao such bolein

Qateel jin pe sada Pathron ko Peyar aya
Kidhar gaye woh Gunah-gaar, Aao such bolein

Saaqi Kahan Se Laoun, Jaam Kahan Se Laoun



Saaqi Kahaan Se Laoun, Jaam Kahan Se Laoun 
May’Khana Hai Band, Sharab Kahan Se Laoun 

Ek Baar Faqat Bhool Baitha Tha Tujhe 
Ussay Bhoolnay Ki Saza Kahaan Se Laoun 

Ab To Milta Nahi Maseeha Koi Is Shehar Main
Is Dard Ki Dua Kahaan Se Laoun 

Ab Tak Sunaee Deti Hain Teray Kadmon Ki Aahat Per Dil Per
Is Dewaangi Ki Inteha Kahaan Se Laoun 

Ab To Bhali Nahi Lagti Kaanon Ko Koi Awaaz
Teri Choorion Ki Jhankaar Kahaan Se Laoun 

Wo Teri Palkon Ka Madham Madham Uthna Girna
Wo Pakeezgi Wo Haya Kahaan Se Laoun 

Wo Teri Kaali Bal Khati Nagan Si Zulfain
Is Zehar Ka Taryaaq Kahaan Se Laoun 

Lafaz He Chin Gay Goya Tumhare Janay Kay Baad Faraz
Uthay Hain Haath Par, Dua Kahan Se Laoun 

Wo hamesha mujh se mujh ko jeet jaati hai


Wo hamesha mujh se mujh ko jeet jaati hai
Jung jub bhi ho wafa ki wo hans ke jeet jaati hai

Main chalata rehta hoon teer chahat kay
Wo kar kay waar Aankhon say jeet jaati hai

Roz banata hun nayi fouj lafzon ki
Wo har lafaz ki talwaar tor , jeet jaati hai 

Ajeeb alaam hota hai lafzon ki jung ka
karwa kay mujhay khamosh wo lafaz jeet jati hai

Jeet ki jung wo muj say puchti hai
Har bar tmhari jaan kaisay jeet jaati hai 

Jung ekhtatam hui 

Mal-e-ghanimat Main howi ,wafa bandi
Wo khud ko haar ke sub kuch jeet jati hai 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...