Apr 13, 2014

Bara dushwaar hota hai Zara sa faisla karna keh



Bara dushwaar hota hai 
Zara sa faisla karna keh
Jeevan ki kahan ko 
Bayan-e-be'zubani ko
Kahan se yaad rakhna hai
Kahan se bhool jana hai
Kissay kitna batana hai
Kis se kitna chupana hai
 Kahan ro ro ke hansana hai
kahan hans hans ke rona hai
Kahan awaz deni hai 
Kahan khamosh rehna hai
Kahan rasta badalna hai
Kahan se loat ana hai
Bara dushwaar hota hai
Zara sa faisala karna

Door tujh se guzri her ghari likh raha hoon



Door tujh se guzri her ghari likh raha hoon

Jo beeta hai mujh pe woh sab likh raha hoon

Tu ne ghamon main uljhaya bhout 

Main naam tera apni her kushi main likh raha hoon

Yeh umar bhar ka bandhan hai do chaar din ka nahin

Dil main jitni hai chahat woh sabhi likh raha hoon

Kar meri baat ka yaqeen agar karti ho

Main taray liye jo kuch hoon abhi likh raha hoon

 Nahin kami kisi lafaz ki is main

MAin faqat apni ghazal main tari kami likh raha hoon

Shayad  tujhay mera acha na lagay naam

Main teray liye khud ko ajnabi likh raha hoon

Hosh walon se kahan tarz-e-ada payo ge



Hosh walon se kahan tarz-e-ada payo ge

Ishq ka jaam piyo hosh main a jayo ge

Kuch to barh gaye yeh be-khudi qatra qatra

Jisam main khoon ki her boond wafa payo ge

Apni hasti ko mitanay ki tamana to karo

Kabhi her shai main kabhi khud main khuda payo ge

Apnay mathay pe sja lo her aik pathar ki zarab

Ishq kar baithay ho lazam hai saza payo ge

Is se her saans ki wabastagi rakh lo Mohsin

Saans rukhnay ka bhi kuch aur maza payo ge

Poet : Mohsin naqvi

Khizaan raseeda chaman main bahar mushkil hai



Khizaan raseeda chaman main bahar mushkil hai

Tumharay baad kahin aitbaar mushkil hai

Kisi se is liye dushwaar hai khafa hona

Mananay aye ga hum ko bhi yaar mushkil hai

Ajeeb raaz-e-junon tha jo meray dil pe khula

Teri gali main bhi a ke qaraar mushkil hai

Hamara kon hai ahl-e-jafa ki basti main

Milay ga hamain bhi koi ghamgusaar mushkil hai

Kahan chalay ho mohabbat khreednay 

Baghair sood ke milna udhaar mushkil hai


Shikwa-e-ishq nahin jurat-e-guftaar nahin



Shikwa-e-ishq nahin jurat-e-guftaar nahin

Meray hathon main koi jabar ki talwaar nahin

Ibn-e-adam hoon insaan se mohabbat ki hai

Aag ka, chaand ka, pathar ka, paristaar nahin

Main ne mana keh tu yousaf sa haseen hai lakin

Yeh mera dil hai koi misar ka bazaar nahin

Ae khuda mujh ko mohabbat de ibadat ke awaiz

Main to teri kisi jannnat ka khridaar nahin

Jis ne insaan se mohabbat hi na ki ho

Dar-haqeeqat woh khuda ka bhi talabgaar nahin

Poet : Allama Iqbal

Bas aik hi ghalti hum sari zindagi kartay rahy



Bas aik hi ghalti hum sari zindagi kartay rahy

Mohsin

Dhool chahray pe thi aur hum aina saaf kartay rahay

Main aur meri tanhai




MAin aur meri tanhai

Main aur meri tanhai aksar yeh batain kartay hain

Keh tum hoti to yeh hota

Tum hoti to woh hota

Yeh asmaan pe sitaray hain

Ya tera anchal hai

Yeh hawa ka jhonka hai ya

Tumharay badan ki kushboo

Yeh hai paton ki sar-sarahat

Ya keh chupkay se tum ne kuch kaha hai

Main yeh sochta hoon

Youn hi gum sum

Jab keh mujh ko yaqeen hai

Tum nahin ho kahin nahin ho

Main aur Meri tanhai

Aksar yeh batain kartay hain
 



Us ne phool bhaigay hain phir meri ayadat ko




Us ne phool bhaigay hain phir meri ayadat ko

Aik aik pati main un labon ki narmi hai

Un jameel hathon ki kushwaar hidat hai

Un lateef sansoon ki dil nawaz kushboo hai

Dil main phool khiltay hain rooh main chraghaan hai 

Zindagi moatar hai phir bhi dil yeh kehta hai

Baat kuch bana leta waqat ke qeemti khazanay se 

Aik pal chura leta kaash woh khud a jata


Poet : Parveen Shakir

Sar-e-sehra musafir ko sitara yaad rehta hai



Sar-e-sehra musafir ko sitara yaad rehta hai

Main chalta hoon mujhay chahera tumhara yaad rehta hai

Tumhara zaraf ke tum ko mohabbat bhool jati hai

Hamain to jis ne bhi hans ke pukara yaad rehta hai

Safar main aisa mumkin hai main khud ko chor doon lakin

Dua'eain karnay walon ka sahara yaad rehta hai

Meray mola ne mujh ko chahha'ton ki saltanat dy de

Magar pehli mohabbat ka khasara yaad rehta hai

Poet : Mohsin naqvi

Aah ko chiya'e ik umar asar honay tak



Aah ko chiya'e ik umar asar honay tak

kon jeeta hai teray zulf ke sar honay tak

Hum ne mana taghafal na karo ge tum lakin

Khaak ho jaye'ein ge hum tum ko khabar honay tak
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...