May 28, 2014

Khyal rakhna adhoori batain hi zindagi hain


Khyal rakhna

Adhoori batain hi zindagi hain

woh guzri batain hi zindagi hain

agarcha dil ki udaas ujri hui ruton main bikhar gayi hai
kai zamano se sari batain
woh guzri batain sulagti shamon ke jaltay bujhtay layo main pighal gayi hai
adoori batain ..... zaroori batain
yeh kushak hoti hui ragon ki siyah qabron main neem murda dasi hui
khwaishon ke hamraah gundhi hui hain
yeh aankh ki putliyon main tahak ke soi hain
tamaam batain darust jana
tamaam khadshy baja hain lakin
her aik imkaan zindagi main inhi ki yadain bhatak rahi hain
inhi ke dam se za'eef jabzon, thtray lafzon
bujhi tamanayon main ramaq hai 
adhoori batain hi zindagi hain 
woh guzri batain hi zindagi hain
khyal rakhna.....................
adhoori batain bhula na dena

zaroori batain....

woh guzri batain bhula na dena

khyal rakhna............!

khyal rakhna ........!

Harf-e-taza naye kushboo main likha chahta hai


Harf-e-taza naye kushboo main likha chahta hai 

baab aik aur mohabbat ka khila chahta hai

aik lamhay ki tawajo nahhin hasil us ki

aur yeh dil keh ussay had se siwa chahta hai

ik hijaab teh-e-iqrar hai manay warna

gul ko maloom hai kiya dast-e-saba chahta hai 

rait hi rait hai is dil main musafir meray

aur yeh sehraa tera naqsh-e-kaf-e-paa chahta hai 

yahi khamoshi kai rang main zahir ho gi 

aur kuch roz keh woh shokh khila chahta hai

raat ko maan liya dil ne muqadar lakin

raat ke hath pe ab koi dia chahta hai

Wafa ke waday woh saray bhula gaya chup chaap


Wafa ke waday woh saray bhula gaya chup chaap

woh meray dil ki dewarain hila gaya chup chaap

gham-e-hayat ke taptay huye byabaan main

hamain chor ke woh tanha chala gaya chup chaap

na janey kon sa woh bad'naseeb lamha tha 

jo gham ki aag main mujh ko jala gaya chup chaap

main jis ko chooti hoon woh zakham deta hai 

woh phool aisay chaman main khila gaya chup chaap

Kitni shafaf hai yeh awaz

Us ki Awaz

Kitni shafaf hai yeh awaz
chashmay ki tarh se jis ne meray
andar ke tamam mousamon ko 
aaina bana ke rakh diya hai

pathar ho keh phool ho keh sabza
taron ki baraat ho keh mehtaab

suraj ka jalal ho keh tan main 
khawabon ki dhanak khinchi hui ho
barish ho , shafaq khili hui ho
her rut ka gawah us ka lehja
teh tak jissy aankh choo ke aye

kitni shafaf hai yeh awaz ! 

Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza





Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza


is tarah se na kabhi toot ke bikhray koi

main to us din se harasaan hon keh jab hukam milay

kushk phoolon ko kitabon main na rakhay koi

Nigah-e-mard-e-moman se badal jati hain taqderain


Koi andaza kar sakta hai us ke zor-e-bazoo ka

nigah-e-mard-e-moman se badal jati hain taqderain

Tum bhi shayed wahin se aye ho



Tum bhi shayed wahin se aye ho 

achay mousam jahan se atay hain

Roshni mera sitara nahin


Doosra aitraaf


Roshni mera sitara nahin

main to

ik umar ki musafat se 

us ki chahat ka aik bhi jugnoo

apni muthi main qaid kar saki nahin

Aisa hai teray meray pyaar ka sangam



Aisa hai teray meray pyaar ka sangam 

kabhi milay kushi , kabhi milay gham

udasiyon ka sabab kiya poochtay ho 

ab to rehti hain aksar palkain meri nam

shab-e-hijar ka kiya haal sunayon

dil main pinhaan hai pat jhar ka mousam

gar hoti milney ki tam'mana 

baant letay hain saray dard sanam

sab mujhay wehmi kehtay hain

sab mujhay wehmi  kehtay hain

lakin koi bhi is ki waja

nahin jaan paya

kaisay unhain bataon main keh

jab se us ne chora hai

her cheez , her rishta

be'wafa sa lagta hai

aur 

jab bhi koi mohabbat ka ehsaas dil'laye to

us ke bichar janey ka 

dharka sa lagta hai

so is dukh se bachney kay liye 

khud hi peechay hat jati hoon 

aur logon se apney liye 

wehmi  larki kehlati hoon
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...