Jun 11, 2014

Kabhi is nagar tujhay dekhna , kabhi us nagar tujhay dhoondna


Kabhi is nagar tujhay dekhna , kabhi us nagar tujhay dhoondna
Kabhi raat bhar tujhay sochna, Kabhi raat bhar tujhay dhoondna 

Mujhay ja-ba-ja teri justagoo , tujhay dhoondta hoon main ku-ba-ku
Kahan khul saka teray ru'ba'ru mera is qadar tujhay dhoondna

Mera khwaab tha keh khyal tha ,woh arooj tha keh zawaal tha 
Kabhi farash pe tujhay dekhna , kabhi arsh pe tujhay dhoondna

Yahan her kisi se bair hai, Tera shaher qariya-e-ghair hai
Yahan sehal bhi to nahin koi , meray be'khabar tujhay dhoondna

Teri yaad ayi to ro diya , jo tu mil gaya to tujhay kho diya 
Meray silsalay bhi ajeeb hain , tujhay chor ky tujhay dhoondna

Kab tak tanha raho gay


Kab tak tanha raho gay

Kab tak tanha raho gay
Kab tak rotay raho gay

Logon ky samnay muskura kay
Kab tanhai main rotay raho gay

Dil main sapno ki shahzadi ka ghar banaye huye
Kab tak intizaar kartay raho gay

Tum akelay bhout kush ho 
Kab tak yeh jhoot apnay aap se boltay raho gay

Khud ko tum tanha kar ky
Kab tak dard-e-tanhai sehtay raho gay

Tum hansty hansty 
Kab tak yeh tanhai ka zehar peetay raho gay

Kuch aisay zakham milay chupaye nahin jatay


Kuch aisay zakham milay chupaye nahin jatay
YEh bojh muqaddar ka uthaya nahin jata

Sun'nay ko to betaab hai yeh sara zamana
Afsanay mohabbat ku sunaye nahin jatay

Kuch dair ko to aya jawaab ja bhi chuka hai
Yadon ky deep magar bujhaye nahin jatay

Tasveer hoon main zabat-e-musalsal ki, junoon ki
Par dil main jo armaan hain dabaye nahin jatay

Nadaan ho, be'aqal hoon , kamzoor hoon , sab kuch
Yeh rang to her sakhs main paye nahin jatay

Adaab mujhay ishq ky atay nahin shayed
Roothay hain woh is tarah manaye nahin jatay 

Shikwa hai 'shikayat hai to phir samnay ayein
Is tarah se to daman bichaye nahin jatay

Be'qraar na mutlashi hoon raahon ki
Ujray huye ghar phir se basaye nahin jatay

Barishon ky mousam main shaam ka yeh aik manzar


Kitna sehal jana tha 

Barishon ky mousam main 
Shaam ka yeh aik manzar 
Ghar main qaid kar lena 
Kushbo'on ko choo lena
Roshni sitaron ki
Muthiyon main bhar lena

Kitna sehal jana tha 

Kushb'on ko chu lena
Jugno'on si baton sy
Phool jaisay aangan main 
Roshni si kar lena
Us ki yaad ka chahera , khaab.naak aankhon sy 
Jheel ky gulabon par dair tak saja lena

Kitna sehal jana tha 

Ae dil ki kush'fehmi is tarah nahin hota 
Titliyaan pakarnay ko 
Door jana parta hai 
Is tarah nahin hota 
Is tarah nahin hota

Kuch aisa likhon kuch naya sa kuch nayaab


Qalam utha ky socha


Kuch aisa likhon
Kuch naya saa
Kuch na'yaab
Kuch meray ehsasaat se labraiz
Kuch meray jazbaat se chlakta hua
Kuch mera khwaishon ka rang liye
Alfaaz ky moamalay main 
Pehli dafa apni mehroomi se samna hua
Kiya likh doon
Jo tumharay dil main youn uatar jaye
Jaisay kushboo kisi phool main sama jaye
Kuch aisa jo tumharay honton pe tehray to
Sargam ban jaye
Jisay tum gayo ghazal ban jaye
Kuch aisa jissay tum oorh sako
Apni Moattar jild ky itnay nazdeek rakho
ky main sharma jaon
Dil chahye
Kuch aisa hi likh doon keh tumharay chaheray pe
Woh tamaaam rangat bikhar jaye
Jo maeray wajood ka hasil ahi
Woh muskurahat
Jo jeenay ka sabab ban chuki hai 
Woh hansi jo meray sukoon ka bbais
Tumhari ho jaye
Tum main kho jaye
Jab tum Parho 
Meray alfaaz ko 
Mehsoos karo unhain 
Us shiddat se 
Jo mehsoos ki meray qalam ki jumbish ne 
Us kaaghaz ky purzay main 
chupi meri duaon ko tum apnay daman main chupa lo
Ik ansoo us pe tapkao
Unhain zinda karo
Meray alfaaz ko parh kar 
Unhain zindagi baksho

Jab haar dy himmat to muqadar nahin milta

Jab haar dy himmat to muqadar nahin milta 
Jungle main bhtakney se yahan kuch nahin milta

Hairaan hain her shakhs yahan sang-e-wafa hai
Kehtay hain teray shaher main pathar nahin milta

Yeh khail muqadar ka samjh se hai meri bala 
Kho jata hai rasta magar rehbar nahin milta

Jo mil na saka us ka gham main kis liye karta 
Insaan jo chahye ussay aksar nahin milta 

Her saans Ukharti hui yeh pooch rahi hai 
Pehlay sa sakoon ab teray andar nahin milta 


Ab ky youn dil ko saza di hum ne


Ab ky youn dil ko  saza di hum ne 
Us ki her baat bhula di hum ne

Ek ek phool bhout yaad aya 
Shakh-e-gul jab jala di hum ne

Aaj tak jis par woh sharmatay hain 
Baat woh kab ki bhula di hum ne

Shaher-e-jahan raakh se aabad hua
AAg jab dil ki bhuja di hum ne 

Aj phir yaad bhout aya woh
Aj phir us ko dua di hum ne

Koi to baat hai us main faraz
Her kushi jis pe luta di hum ne


Main mar mita to woh samjha yeh intiha thi meri


Main mar mita to woh samjha yeh intiha thi meri 
issay khabar hi na thi , khaak ki maya thi meri 

Main chup hua to woh samjha keh baat khatam hui
Phir is ky baad to awaaz ja'baja thi meri

Main us ko yaad karon bhi to yaad ata nahin 
Main us ko bhool gaya hoon yahi saza thi meri

Shakist de gaya apna ghroor hi us ko 
Wagarna us ky muqabal bisaat kiya thi meri

Koi bhi koo-e-mohabbatse phir nahin guzra
To shaher-e-ishq main kiya aakhri sada thi meri

Main us ko dekhta rehta tha Haira'ton se faraz
Yeh zindagi se ta'aruf ki ibtida thi meri

Waqat ki raftaar ky sath tu bhi chalna seekh ly


Waqat ki raftaar ky sath tu bhi chalna seekh ly
Dard seh kar is jahan main muskurana seekh ly

Dosron pe shikwa karna aur shikayat chor de
Her kisi se pyaar karna dil lagana seekh ly

Kaanch ky tukray paray hain zindagi ki raah par
Kaanch ky tukron pe tu bhi chal ky jeena seekh ly

Gham utha kar muskurana kaam yeh walion ka hai 
Auoliya ky naqsh-e-pa par tu bhi chalna seekh ly

Kis qadar insaan ajaz hai zamanay main 
Dosron se pyaar kar aur khud se larna seekh ly
 

Mujhay hawaon main rehna acha lagta hai


Mujhay hawaon main rehna acha lagta hai

Mujhay ohoolon ko hathon main le kar choomna acha lagat ahi

Mujhay titliyon ka baaghon main phirn aacha lagata hai

Mujhe barish main bheegti hui matti ki kushboo ko soongna acha lagat ahi 

Mujhay asmaan pe prindon ka azaad urna acha lagta hai

Mujahy chandani raat ko chat pe ja kar chaand ko takna acha lagta hai 

Mujahy kanton ka youn achanak daman thaam lena acha lagta hai 

Mujhay geeli rait par nangay paon chalna acha lagata hai

Mujhay asmaan pe dhanak ky rangon ka bikhirna acha lagta hai 

Mujhay subha ka phootna acha lagta hai 

Mujhay kushiyon ka her roop main ana acha lagta hai 

Mujhay ghamon ko hans ky sehna acha lagta hai 

Mujhay tum se milna aur tumhara yaad ana acha lagta hai 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...