Jun 26, 2014

Manzal nahin milti rasta nahin milta


Manzal nahin milti 
Rasta nahin milta 
Ho kar juda tujh se
Mujhay sahara nahin milta 

Roz jeeti hoon 
Roz marti hoon 
Teray janay ky baad 
Janay ka asra nahin milta

Her awaaz pe chonk jati hoon 
Her aahat pe mur ky dekhti hoon 
Kho kar tujhay 
Tera sayaa nahin milta 

 Hai yakeen mujhay 
Loat aye ga woh bhi 
Magar tab tak 
Saans ko raabta nahin milta 

Tehar jaye is dil ki dharkan 
Sukoon mil jaye is be'chain ko
Dua karo keh is rooh ko 
Jaaney ka raasta nahin milta


Jun 25, 2014

Door janay wale to loat kar nahin atay


Wapsi ka darwaza 

Door janay wale to 

Loat kar nahin atay 

Yeh khabar hai mujh ko bhi 

Phir bhi aas hai dil main 

Is liye teri khatar 

Wapsi ka darwaza 

MAin ne khol rakha hai

Qadam ruk se gaye hain aaj phool biktay dekh kar



Qadam ruk se gaye hain aaj phool biktay dekh kar 

Woh aksar mujh se kehta tha " Mohabbat phool jaisi hai "

Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono


Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono

Na main tujh se koi umeed rakhon dil nawazi ki

Na tum meri taraf dekho ghlat andaaz nazron se

Tumhain bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi se 

Mujhay bhi log kehtay hain keh yeh jalwe praye hain 

Meray hamraah ab ruswaein hain meray mazi ki 

Tumharay sath bhi guzri hui raaton ky saye hain 

Ta'aruf rog ban jaye to us ko bhoolna behtar 

Ta'aluq bojh ban jaye to us ko torna acha 

Woh afsana jissay injaam tak lana na ho mumkin 

Ussay ik khoobsurat mor de kar chorna acha 

Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono

Kisi ko alwida kehna bhout takleef deta hai




Kisi ko alwida kehna 

Bhout takleef deta hai 

Umeedain toot jaati hain 

Yaqeen pe be'yaqeeni ka kohar kuch aisay charta hai 

Dikhai kuch nahin deta 

Sujhai kuch nahin deta 

Dua kay lafaz honton par musalsal kap'kapatay hain

Kisi khwaish kay andeshay 

Zehan main dor jaatay hain 

Gumaan kuch aisay hota hai 

Keh jaisay mil na payen gay 

Yeh gehray zakham furqat kay kisi se sil na payen gay 

Kabhi aisa bhi ho ya'rab 

Duaein maan leta hai 

Tu koi mojaza kar dy tu aisa kar bhi sakta hai 

Meray haathon ki janab dekh inhain tu bhar bhi sakta hai 

Judai ki yeh teekhi dhaar dilon ka khoon karti hai 

Judai ki aziyat se 

Mera dil ab bhi darta hai 

Judai 2 gharri ki ho to koi dil ko behlay 

Judai umar bhar ki ho 

To kiya chaara karay koi 

Keh ik milnay ki hasrat main bhala kab tak jiye koi 

Meray "Moula" karam kar dy tu aisa kar bhi sakta hai 

Meray haathon ki janib dekh , inhain tu bhar bhi sakta hai 

Mohabbat ka ik dia phir jala dia hai hum ne


Mohabbat ka ik dia phir jala dia hai hum ne 
Jab bhi dil main tera naam liya hai hum ne 

Mout ka lagta hai jaisay ko qarz itarna tha 
Aisay is sari zindagi ko jiya hai hum ne 

Tu kahin bad'naam na ho jaye meri jaan 
Isi liye to in honton ko siya hai hum ne

Roz marna roz jeena hai is ki mohabbat main 
Kiya kahain keh roz naya zehar piya hai hum ne 

Intizaar , intizaar aur bas la'hasil intizaar 
Sari umar yawar yahi to kiya hai hum ne

Ab to aik muddat se hain dewaron ki qaid main


Ab to aik muddat se hain dewaron ki qaid main 

Sath rehtay thay kabhi sehra , samandar aur hum

Mohabbat aazmani hai to bas itna hi kaafi hai


Mohabbat aazmani hai to bas itna hi kaafi hai

Zara sa rooth kar dekho mananay kon ata hai

Zara samjha karo jana


Zara samjha karo jana 

Nahin 
Nazdeek mat ana 
Hum nazuk abgeenay hain 
Zara si thais lagney se 
Phisal kar toot jayein gy

Yeh shokhi aur shrarat sab 
Usi lamhay tak hasil hai 
Keh jab tak phool ki tarah 
Taro'taza rahein gy hum 
Zara samjha karo jana

Main kachi neend main hoon


Main kachi neend main hoon

Aur apnay neem khwabeeda tanafas main utarti 

Chandani ki chaap sunti hoon 

Gumaan hai 

Aaj bhi shayed 

Meray mathay pe teray lab 

Sitaray sabaat kartay hain 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...