Jun 27, 2014

Zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat par


Zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat par 
Dard bhool jatay hain ab bhi teri aahat par 

Shabnami sitaron main phool khilne lagta hai 
Chaand muskurata hai ab bhi teri aahat par 

Umar kaat di lakin bachpan nahin jata 
Hum dia jalatay hain ab bhi teri aahat par  

Teri yaad ayi to neend jati rahi hai 
Khwaab toot jatay hain ab bhi teri aahat par

Jo sitam kare aa kar sab qabool hai dil ko 
Hum khushi manatay hain ab bhi teri aahat par 

Teray hijjar main hum pe ek azaab taari hai 
Chonk chonk jatay hain ab bhi teri aahat par

Yaadon ky samndar main ek lehar si aaj ayi hai


Yaadon ky samndar main 

Ek lehar si aaj ayi hai 

Machalti hai bhout aaj woh 

Tarap tarap kar chitano se takrati hai 

Hai kinara magar kinara nahin 

Yeh baat na ab tak samjh pai hai 

Hai khula asmaan charon taraf 

Phir bhi bhout tanhai hai

Yaadon ky samndar main 

Ek lehar si aaj ai hai 

Machalti hai bhout aaj woh 

Tarap tarap kar chitano se takrati hai

Churaye phirtay thay jo tujh se hi nazrain aksar


Churaye phirtay thay jo tujh se hi nazrain aksar 
Un hi nazron ko , teri deed ko , tarastay dekha 

Woh jo kehtay thay , tera aks nahin un aankhon main 
Un hi aankhon ko , teri yaad main basatay dekha 

Dil ky darwaze jin ky her dastak pe waa hotay thay 
Un hi ky dil ko , sirf teray liye , ab dharaktay dekha 

Dabi dabi si chingaari se bhi , jo naalan thay 
Phir ishq ka shola , un ky bharaktay dekha

Tu bahaar ban ky titli gulaboon ki raah'guzaar main reh


Tu bahaar ban ky titli gulaboon ki raah'guzaar main reh 
Misal moj-e-saba , khaima-e-bahaar main reh 

Agar pasand hon sehra ki chandani raatain 
Tu meray dost dil ki raah'guzar main reh 

Na cheen mujh se rafaqat ki dil'nasheen kushboo 
Meray habeeb meray pyaar ky hisaar main reh 

Na in shareer nighaon ki maan tu ae dil 
Hamara dil hai hamaray hi ikhtiyaar main reh 

Dar band abhi se na kar , dia na bhuja 
Kuch aur dair zara us ky intizaar main reh 

Woh dekh jheel main rehta hai jis tarah mehtaab 
Tu meri jaan, meri chasham-e-ashk'baar main reh

Is zamaney se na hum koi gila rakhain gy


Is zamaney se na hum koi gila rakhain gy 
Dil lagayein gy to shart-e-wafa rakhain gy 

Na dikhyein gy kabhi dil pe laga zakham unhain 
Dard uthay ga magar dil ko daba rakhain gy 

Sab hata dain gy teri raah ki rukawat hamdam 
Ghar ky dareechay ko her waqat khula rakhain gy 

Un ki her baat ko bhoolay se na bhoolain gy kabhi 
Un ki yaadon ko bhi seenay se laga rakhain gy 

Toot bhi jaye gi umeed jo teray aanay ki 
Ek diya phir bhi hawaon main jala rakhain gy 

Doston se kaha karta tha woh bhi


Doston se kaha karta tha woh bhi 
Kiya yeh bhi jee sakta hai meray bin 

Mazaq ban jaya karta tha jo doston main 
Khud ko tanha samjhta tha woh mere bin 

Issay had-e-deewangi kahoon ya pagal pan 
Tasawar main woh baatein karta tha mere bin     

Woh mousamon ko badalney se darta nahin tha lakin 
Bahaar main murjhaya karta tha mere bin 

Ab aas toot gayein us ky aanay ki 
Lagat hai jeena seekh chuka hai mere bin

Gham ki baarish ne bhi teray naqash ko dhoya nahin



Gham ki baarish ne bhi teray naqash ko dhoya nahin 

Tu ne mujh ko kho dia main ne tujhay khoya nahin

Saazon ky badlay , dua hum ne ki thi


Saazon ky badlay , dua hum ne ki thi 
Jafaon ky badlay , wafa hum ne ki thi 

Sabhi kuch mita kar , sabhi kuch bhula kar 
Shikayat bhi un se kahan hum ne ki hai 

Mohabbat ky badlay mohabbat nahin hai 
Ulfat ky peechay adawat chuppi hai 

Woh aisa karain gy , woh aisa kahain gy 
Un hi kay liye sab kuch ganwaya 

Woh hum pe marain gy , woh hum pe mittein gy 
Yeh chahat bhi un se kahan hum ne ki hai 

Zamaney ki chaalon ko samjho zara tum 
Mohabbat main khud ko sambhalo bhala tum 

Tum hi ko chahein , tum hi ko srahain 
Yeh qasmain bhi un se kahan hum ne lein thein

Jis ko lenay taajron ka dasta nikla


Jis ko lenay taajron ka dasta nikla 
Bikney aya to tawaqo se bhi sasta nikla 

Apney seenay main chupaye huwey teri yaadain 
Hum par her shakhs awazain kasta nikla 

Hum ne her baat bhout soch samjh kar ki hai 
Bas ik lafaz-e-mohabbat tha jo barjasta nikla 

Woh jis ne paaon talay kitney paaon masal daalay 
Kal wohi shaks mohabbat ko tarasta nikla 

Teri muskaan se mansoob rahi rahat meri 
Mera her gham tere gham se paiwasta nikla

Hum pe ilzaam jo dhar jata hai


Hum pe ilzaam jo dhar jata hai 
Is ka ehsaan hai , kar jata hai 

Aap to baat faqat kartay hain 
Teer sa dil main utar jata hai 

Chandani sath hi chalti hai sada 
Jis ufaq par bhi qamar jata hai 

Chaid sa kar ky naya seenay main 
Hadsa aa ky guzar jata hai 

Dhoop taqseem jo karta hai 
Aap tareeki main mar jata hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...