Sep 2, 2014

Ab mujhay hai ussay bhulaa dena

Ab mujhay hai ussay bhulaa dena
Ae Khuda tu hosla dena 

MAin nahin , zindagi sawaali thi 
Meri ghairat ko yeh bata dena 

Sakhat jaani to hijar seh lay gi 
Tum mujhay doosri saza dena 

Aandhiyaan pehlay thaamna ya'rab 
Tab mere haath main dia dena 

Jab tum mujhay pukaarna chaho
Roshni , roshni sadaa dena 

Ae Khuda tu hosla dena

Ab mujhay hai ussay bhulaa dena
Ae Khuda tu hosla dena 

MAin nahin , zindagi sawaali thi 
Meri ghairat ko yeh bata dena 

Sakhat jaani to hijar seh lay gi 
Tum mujhay doosri saza dena 

Aandhiyaan pehlay thaamna ya'rab 
Tab mere haath main dia dena 

Jab tum mujhay pukaarna chaho
Roshni , roshni sadaa dena 

Hawa se dosti rakhon to ghar roshan nahin rehta

Chatton ko dekh loon to yaad phir sawan nahin rehta 

ghreebon ki yeh basti hai , kahan se shokiyan laaon 
Yahaan bachay to rehtay hain , magar bachpan nahin rehta 

Jo tera mera rishta hai , faqat dil ki kahaani hai 
Jahan par kachay dhaagay hon , wahan bandhan nahin rehta 

Yahan to kuch bhi mumkin hai keh yeh raah-e-mohabbat hai 
Wahan bhi jeena parta hai jahan jeewan nahin rehta 

Kahan kis kis se uljho gay , kaha na raah-e-ulfat hai 
Yahan kaanton ne rehna hai , yahan daaman nahin rehta 

Khlaish anjaan ho to tere gham se jor deta hoon 
Koi ibhaam aisay main paas-e-uljhan nahin rehta 

Yahan shajar ik tha , kisi ki yaad thi us main 
Agar woh ab bhi hota soona ya anjaan nahin rehta

Na shikayetain na sawaal hai koi aasra na malaal hai

Teri be'rukhi bhi kamaal thi , mere zabat ko bhi kamaal tha 

Meri chahaton ka sila na dy, mere hoslay ki tu daad dy 
NA khuda se tujh ko talab kiya , na hi tujh se koi sawaal hai 

Baray rakh rakhaao se ishq main meri meri wehshaton ne guzaar di 
Tera naam ho tera zikar ho meri aankh nam ho majaal hai 

Tu samandron ki misaal dy mujhay koh'saar pasand hain 
Tujhay tund'khoi pe naaz hai , mujhay khamoshi main jamaal hai 

Meri soch ne meri chah ne jissay harf harf raqam kiya 
Wohi naam likhna azaab hai wohi intisaab mohaal hai

Ek jabar hai ab ehsaas-e-wafa bhi , yeh dil main basana theek nahin

Ab saaz-e-dil afsurda par , es geet ko gaan atheek nahin 

Tum bhool chukay yeh sab behtar, tum chor chalay yeh aur acha 
Khwaabon main magar majbooriyon kay yeh aana jana theek nahin 

Keh do keh nahin hum mil saktay , keh do keh koi majboori hai 
LAkin yeh labon tak la la kar baaton ko chupana theek nahin 

Aye shouq-e-janoon ab baaz bhi aa, kuch maan bhi lay tu mera kaha 
Jo jaan kar bhi anjaan banay , gham us ko sunaana theek nahin 

Ab chor bhi do dewaana pan , ab bhool bhi jaao maazi ko 
Aye shams yeh pal pal khilwat main ashkon ka bahana theek nahin

Jo mil saki na mujh ko jageer naachti hai

Aankhon main ab bhi teri tasveer naachti hai 

Apna bana kay tujh ko ghar to basa loon lakin 
Sar pe musafarat ki shamsheer naachti hai 

Bach kar nikalna chahon lakin nikal na paaon 
Yaadon ki teri her soo tanveer naachti hai 

Hum sokhta dilon ka kiya haal poochtay ho 
Her roz sar pe koi tazeer naachti hai 

Paish-e-nazar hamaray khwaabon ki kirchiyaan hain 
Aur aainay ki surat tabeer naachti hai 

Aati hai samnay khud manzil tawaaf karti 
Jazbay ki jab lahoo main taseer naachti hai 

Kiya ho gaya hai tum ko kuch na baatao baabar
Maathay pe kiyon shikan ki zanjeer naachti hai

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...