Sep 13, 2014

Main muqeed hoon ik azeyat main


Main muqeed hoon ik azeyat main

Aur aziyat bhi karb-e-zaat ki hai

Phir bhi chup chaap

Apnay aap main gum

Aati jaati ruton ko dekhta hoon

Kitnay mousam youn hi guzaar kay bhi

Wohi aalam hai hairaton ka meri

Haan magar

Gird-e-maah-o-saal kay beech

Baar ha aik surat shah'kaar

Pa-ba-e-zangeer mujh talak ayi

Aur

Sar'goshiyon main keh kay gayi

Aalam-e-zaat se nikal kar dekh

Yahan her shay kisi azaab main hai

Jab tujhay loat kar nahin aana


Jab tujhay loat kar nahin aana

Muntazir meri chashm-e-tar kiyon hai

Raat pehlay hi kiyon nahin dhalti

Tairagi shab ki ta'sehar kiyon hai ?

Yeh bhi kaisa azaab de daala

Hai mohabbat to is qadar kiyon hai

Tu nahin hai to roz-o-shab kaisay

Shaam kiyon aa gayi , sehar kiyon hai 

Kon se dukh ki baat karain



Kon se dukh ki baat karain

Tum to bas aik hi dukh poochtay ho

Kon se dukh ki karain baat zara yeh to bata

Mousamon , sard hawaon ki masehaai ka dukh

Raah ki dhool main bikhri hui beenai ka dukh

Sang kay shaher main khud se shna'saai ka dukh

YA kisi bheegi barsaat main tanhai ka dukh

Kon sy dukh ki karain baat keh dil ka dariya

Itni tugh'yaani ki zad par hai keh kuch yaad nahin

Kab hamain bhool gaya , kon se harjaai ka dukh

Tum to bas aik hi dukh poochtay ho

Meri qalaam kay aansoo hain lafz nahin


Meri qalaam kay aansoo hain lafz nahin

Mohabbat kay jugnoo hain lafz nahin

Dekho yeh teray shaoor se oopar hai

Dil se sil ki guftagoo hai lafz nahin

Faqat qaafiyea hi nahin milaaye main ne

Masoom shaair ki aarzoo hai lafz nahin

Tanhai main hazaaron baatain hoti hain

Kaaghaz hai to , tu hai lafz nahin

Aankhon ki nami dekho , honton ki siskiyaan

Dard hi dard her soo hai lafz nahin

Maan lo gay to ghaneemat samjhon ga main

Meray paas bas aansoo hain lafz nahin

Mehakta hai jis se yeh jeevan mera

Sookhay gulaabon ki khushbo hai lafz nahin

Tujhay paanay ki dua'ein hain in ghazlon main

Meray dil ki khamosh justagoo hai lafz nahin

Nihaal tarapti koyalay jaisi hai shairy meri

Suna'nay main jo sirf ku ku hai lafz nahin

Ussay kehna hamain kab faraq parta hai


Ussay kehna

hamain kab faraq parta hai

Keh

Hum to shaakh se tootay huye pattay

Bhout arsa hua hum ko

Ragain tak mar chukien dil ki

Koi paaon talay ronday

JAla kar raakh kar daalay

Hawa kay haath par rakh kar

Kahin bhi phaink dy hum ko

Sapurd-e-khaak kar daalay

HAmain ab yaad hi kab hai

Keh hum bhi aik mousam thay

Kisi gulshan ki zeenat thay

Kisi tehni ki qismat thay

Kai aankhon ki raahat thay

Ya jeevan ki haraarat thay

Bhout arsa hua woh khwaab sa mousam

Hamaray haath se phisla

Ya shayed phir khizaan kay mousam ko

Hum apna samjh baithay

So is din se

Kisi mousam se ab apna

Koi rishta nahin banta

Kisi ki shaakh ki baanhain

Hamain pehchaanti kab hain

Kabhi hum un ki dharkan thay

Yeh shaakhain maanti kab hain 

Tum ne dekhi hai woh khwaabon ki raah guzar


Tum ne dekhi hai woh khwaabon ki raah guzar

Jis ki manzil thi ujrra hua nagar

Sur'maei shaam thi jis kay chaaron taraf

Jis main manzir judaai kay dy saf-ba-saf

Wasal ka sar bakaf

Ban gaya kirchiyaan mann ka nazuk sadaf

Tu ne dekhi hai khwaabon ki woh raah guzar

Sang raizon ki baarish hui thi jahan

Aur komal se jazbay hadaf ban gaye thay

Pa'maali ne is ko lahu lahu kar diya

Ba'wuzu kar diya ' sur'khroo kar diya

Aaj bhi jo musafir gaya us taraf

Us ne paya nahin wapisi ka nishaan

Us ko dhoonda falak ne yahaan se wahaan

Tum ne dekhi hai khwaabon ki woh raah'guzar 

Teray hijar main


Teray hijar main

Meri jaan waqat kat'ta hai youn

Keh main jaatay lamhon ki chaap sunta raha kabhi

Kabhi teri yaadon kay saye dil main ghannay huye

Kabhi aansoo'on ki jharri lagi

Kabhi gham ki aandhi chali

Magar

Yeh chraagh jo teri raah main

Teray muntazir ne jalaye thay

Nahin bujh sakay

Faqat is liye nahin bujh sakay

Keh yeh teray wada-e-wasal par hi jalay thay

So

Teray intizaar main lamha lamha Bakhairtay rahay roshni

Aur ab aisa hai

Inhain andhiyon ka ya aansoo'on ka bahaao

Jaanay se rok sakta nahin 

Baarish


Baarish

Hawaein munjamind si hain

Abar ne zameen-e-jaan ko ghair rakha hai

Magar phir bhi sehra kay tashna lab pe

Ik khumaar taari hai

Woh jo ablay jaan rahay thay

teri raah main chaltay chaltay

Ajab ik sakoon mehsoos kartay hain

Main door se uth'ti badli ko dekhta hoon

Keh shayed meray sehan-e-dil pe

Chand qatray girain to sakoon milay

Magar tumhain pata hai

Baarishon kay honay se

Zard peelay paton ko

Kuch bhi to nahin milta

Woh barh awara urtay phirtay hain

Faasla nahin mit'ta , rasta nahin milta

Woh jo sehra main umeed thi baarishon kay honay ki

Woh toot hi jaati hai

Sehan-e-dil zard hi rehta hai

Baarishon kay honay se kuch nahin badalta hai

Bas haray bharray chaman 


Kuch aur shadaab ho jaatay hain

Magar tishna lab sairaab nahin hotay 

Hum se kiya poochna mizaaj-e-hayaat ?


Hum se kiya poochna mizaaj-e-hayaat ?

Hum to bas aik dareeda daaman main

Bhar kay khaakstar diyaar-e-wafa

Lay ky sadiyon ki baas phirtay hain

In dino shaher bhar kay raston main

Hum akelay udaas phirtay hain  

Baarishon kay mousam main


Baarishon kay mousam main

Baarishon kay mousam main

Junglon main chaltay hain

Ghar udaas hain saaray

Ghar main jaa kay phir baarish so'gawaar kar dy gi

Beetay saray lamhon ka phir shumaar kar dy gi

Chatt pe aur aangan main is tarah se barsay gi

Jaisay siskiyaan lay kar koi roti jaati ho

Apna gham sunaati ho

Baarishon kay mousam main junglon main jaatay hain

Koi bhi nahin ghar main

Meri is udaasi ko mujh se baant lay mil kar

Dukh mera smaitay jo

Apna gham mujhay dy dy

Haath meray thaamay jo apnay garm haathon main

Meray sard maathay par apnay garam lab rakhye

Ghar to saray khaali hain

Aur udaas hain galiyaan

Bheegtay huye aayo ghar se door chaltay hain

Baarishon kay mousam main

Junglon main chaltay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...